┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
*📚Hadees :* Hazrat Jaabir Raziy allahu Anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Jis Shakhs ko hadiya tohfa diya jaaye, to agar us ke paas badle mein dene ke liye kuchh maujood ho to woh us ko dede aur jis ke paas badle mein tohfa dene ke liye kuchh na ho, to woh (bataur shukriya ke) us ki taareef kare aur us ke haq mein Duaa-e-Khair kahe. Jis ne aisa kiya us ne shukriya ka haq ada kar diya aur jis ne aisa nahin kiya aur ehsaan ke muaamle ko chhupaaya, to us ne naashukri ki.
- 📗 (Abu Dawood, 4813)
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.