☆ ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ☆
✴☛ ° JUMA KE KHUTBA KE DAURAN KE MASAIL °
⚀╒▤①┐Hadees ka KhuLasa RasuLuLLah ﷺ ne farmaya:
‘Jo Shakhs Juma ke Din Masjid me Haazir ho Khamoshi aur Sukoon ke Sath Khutba Sune, kisi Musalman ki Garden na phalange, kisi ko takleef na de to ye Amal is ke Guzishta Juma se lekar is Juma Tak aur 3 Din Mazeed is ke Gunaho’n ka Kaffara ban Jaata hai, kyu’ke Allah Ta’ala ne farmaya ke har Neki ke badley 10 Gunah maaf hai.’
☛📒 ° [ Abu Dawood : al Salah 1113 ] °
⚁┣▤②┐Juma Ke Din Jab Imam Khutba De Raha Ho Khutba-e Juma Ka Adab
Hadis ka Khulasa RasuLuLLah ﷺ Ne Farmaya, “Juma Ke Din Jab Imam Khutba De Raha Ho To, Ghutno Ko Pait Ke Saath MilaaKer Baithney Se Mana Fermaya”.
☛📒 ° [ Abu Dawood, Kitabul Salaat, 1110, Tirmizi, Kitabul Salaat, : 514 ] °
⚂┣▤③┐Hadees ka KhuLasa RasuLuLLah ﷺ ne farmaya:
‘Juma ke khutba mein jab apne paas baithne wale ko (Izaara Naseehat) (advise) kahe ‘Chupp Raho’ to bilaa shuba tuney bhi lagv (bekaar) kaam kiya.’
☛📒 ° [ Bukahri: al Jumma/ 934 – Muslim: al Jumma : 851 ] °
♻☛Is se saabit hua ke dauraan e khutba (Samaeen ko aapas me) kisi Qisam ki baat karna jaaez nahi hai, Badi khamoshi se khutba sunna chahiye
⚃┣▤④┐ Hadees ka : KhuLasa RasuLuLLah ﷺ ne farmaya
“Hazir Raho Khutbey (Jumma Ke Khutbe) Ke Waqt Aur Imaam Se Qareeb Raho
Isliye Ke Aadmi Jis Qadar Door Rahega Usi Qadar Jannat Me Pichhe Rahega Agarche Woh Jannat Me Dakhil Zaroor Hoga..”
☛📒 ° [ Sunn-e-Abu Dawood J.1 S.410, Hadees : 1108 ] °
⚄┣▤⑤┐ RasuLuLLah ﷺ ne farmaya:
‘Jisse Juma ke waqt Nind aaye wo apni jagah badal le.’
☛📒 ° [ Tirmizi: al Juma 526) Imam Tirmizi ] °
⚅┣▤⑥┐RasuLuLLah ﷺ ne manaa farmaya ke aadmi apne bhai ko utha kar uski jagah par Na baithe, Aapse poocha gaya kya sirf juma me Me naa hai ?
Farmane lage Juma me aur iske alaawa bhi.
💠┣▤⑦┐ RasuLuLLah ﷺ ne farmaya ke dauraan e khutba goat maar kar baithne se mana farmaya:
☛📒 ° [ Tirmizi: al Jumma /514 ] °
♻Imam Tirmizi farmate he.
Goat maarna is tarha baithne ko kehte hain ke hath ya kapde ke sath rano’n ko pet se milaa kar baithe Is tarha
baithne se umooman neend ajaati hai phir aadmi khutba nahi sun sakta, Alaawa azeei’n is haalat me aadmi aksar gir padta hai.
♻┣▤⑧┐Hadis ka KhuLasa RasuLuLLah ﷺ ne farmaya Juma ke din masjid me namaz-e-juma se pehale halqa Banaane se mana farmaya.
☛📒 ° [ Abu Dawood: al Salah 1079 – Tirmizi : al Salah 322 ] °
⚂┣▤⑨┐RasuLuLLah ﷺ ne farmaya:-” jo shakhs juma ke din khoob Achhi tarah nahaaye aur pedal (masjid me) jaaye, imam ke nazdeek Hokar dil lagakar khutba sune aur koi bekaar baat na kare to usko har qadam par ek saal ke roze aur uski raaton ke qayaam ka sawaab hoga”
☛📒 ° [ Tirmizi, al jumma 495, abu dawood taharat 345, ibne hibban 559, haakim 1/281-282 ] °
╔┅┅┐
◉ ⚀⊙:➻┐
📃→ pαdhє
📿→ αmαl kαrє
👥→ duѕrσ tαk pαhσchαчє
💠join telegram
☛Deen ke muzakare group
https://t.me/joinchat/AAAAAEqkrYP1LJDJtLj3cw
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.