TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Tuesday, October 30, 2018

Jazak Allahu Khairan Ka Matlab aur Iska Jawab


Bismillahhirrahma nirrahim

╭•••❐HADEES ⊙F THE DAY❐•••╮

Jazak Allahu Khairan Ka Matlab aur Iska Jawab

⇝❥Hazrat  Usamah bin Zaid Razi Allahu Taala Anhu se riwayat hai ki, RasoolAllah ﷺ ne farmaya:

“ Jiss Shakhs Ke Sath Bhalayi Ka Mamala kiya Gaya Aur Fir usne Bhalayi Karne wale ko jazak Allahu Khairan Kah Diya, To Goya usne Shukriya Ka Haq ada Kar Diya ”

-Ref ☛🗂 (Jamia Tirmizi : 2035)

⇝❥  Hazrat Umar Ibne Khattaab (RaziAllahu anhu) ne farmaya: “Agar logo ko jazak Allahu Khairan kahne ka sawab malum ho jaye to wo ek dusre ko ye bahut zyada kahne lag jaye”

-Ref ☛🗂 (Musannaf Ibn Abi Shaybah,  26519)

⇝❥ Jazak Allahu Khairan Ka Jawab:

 Mafhoom-e-Hadees: Ek baar Usaid bin Haider (RaziAllahu anhu) ne RasoolAllah ﷺ se farmaya, Ya RasoolAllah ﷺ! Jazak Allahu Khairan (Allah aapko achcha sila ata farmaye),.
To unke jawab me RasoolAllah ﷺ ne farmaya – “Wa antum fa Jazakum Allahu Khairan ( Aur aapko bhi, Allah aapko bhi achcha sila ata farmaye)”
-Ref ☛🗂 (Sahih Ibn Hibban, 7436 -Hasan)

⇝❥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki RasoolAllah ﷺne farmaya:
“Wo Allah ka Shukr Ghuzar nahi ho sakta jo bando ka Shukrguzar na ho”

-Ref ☛🗂  Sunan Abu Dwud, Vol 3,1383-Sahih

Sabak 》Aaj Hamari Yeh Aadat Hoti he Ke Koi Hamare Upar Ahesan Kare Ya Madad kare To Ham Usko Thanks Ya Dusra Word (shabd) Istemal Karte he Jo Hamara Tarika NaHi  Hame Wohi Karna chahiye Jiska Hukm Hamare Nabi Rasool'AllahﷺNe Diya....Allah Ham Sabko AmaL ki Taufik De...!Aameen
 ★
╔┅┅┐
◉      ⚀⊙:➻┐
               📃→ pαdhє
       📿→ αmαl kαrє
👥→ duѕrσ tαk pαhσchαчє

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.