Bismillahirrahmanirrahim
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
9 Aur 10 Muharram ka Roza
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
📚 Hadees: Hazrat Abu Qatada al-Ansari RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ se Ashura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap ﷺ ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai..
- 📗 (Muslim, Vol 3, 2747, 2528)
📚 Hadees: Hazrat Abdullah Bin Abbas Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolullah ﷺ Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz kiya Ya RasoolAllah ﷺ ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara, To Aap ﷺ Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Insha-Allah Hum 9 ka Roza Rakhege, Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap ﷺ Duniya se wafat pa gaye..
- 📗 (Muslim, Vol 3, 2666, 2603)
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.