🌴Roman English🌴
Auraton Ke Mutalliq Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke 40 Mubarak Irshadat,
《Post-04-5》
Rasoolullah Sallallahu Alahi Wa Sallam Ne Farmaya,
(8) Ek Shaks Ne Arz Kiya Yaa Rasool Allah Meri Biwi Hai Jab Me Uske Paas Jata Hun Tu Wo Kehti Hai,Marhaba Mere Sardar Ko, Mere Ghar Walo Ke Sardar Ko, Aur Jab Mujhe Ranzida (Gamgeen) Dekhti Hai To Wo Bhi Ranzida Ho Jati Hai,Aap Sallallahu Alahi Wa Sallam Ne Farmaya Us Aurat Ko Khabar De Do Ki Wo Allah Ka Kaam Karne Walo Me Se Ek Hai Aur Usko Jihaad Karne Wale Ka Aadha Sawab Milta Hai,
(9) Jab Koi Aurat Apne Bachche Ko Doodh Pilati Ho Tu Use Har Goont Pilane Par Aisa Sawab Milta Hai Jaise Kisi Jaandar Ko Zindagi De Di, Fir Jab Wo Doodh Chorati Hai, Tu Ek Farishta Uske Kande Par Hath Rakhta Hai Aur Kehta Hai Ki Tere Pichle Sab Gunah Maaf Kar Diye Gaye
📓【Kunzul Ummal】
(10) jis aurat ka shohar bahar ho aur wo apni hifazat kare aur banao singaar na kare, namaz ki pabandi kare tu wo qayamat ke din kunwari ladki ki tarah uthai jayegi.
📓【Kunzul Ummal】
(11) auraton par tumhara haq yeh hai ki jab tum khana khao tu use bhi khilao aur jab tum kapde pehno tu use bhi pehnao aur uske muh par na maro.
📓 Abu dawood, ibne maja
(13) Kamil imaan wala wo shaks hai jiske akhlaaq achche ho, aur tum me achche wo log hain jo apni bwiyon ke sath achche hain.
📓 Tirmizi.
🌴Hindi (हिंदी)🌴
औरतों के मुताल्लिक नबी करीम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के ४० मुबारक इरशादात
रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैही व सल्लम ने फरमाया
(८) एक शख्स ने अर्ज किया या रसूलल्लाह मेरी बीवी है जब मै उसके पास जाता हुं तो वो कहती है... मरहबा मेरे सरदार को, मेरे घर वालो के सरदार को...और जब मुझे रंजीदह देखती हे तो वो भी रंजीदह हो जाती है..... आप सलल्लाहु अलैहि व सल्लम ने फरमाया उस औरत को खबर दे दो कि वो अल्लाह का काम करने वालों मै से एक है...और उसको जिहाद करने वाले का आधा सवाब मीलता है
📓【कन्झुल उम्माल 】
(१०) जिस औरत का शोहर बाहर हो और वो अपनी हीफाझत करे और बनाव सिंगार न करे नमाझ की पाबंदी करे तो वो कयामत के दिन कुंवारी लडकी की तरह उठाई जायेगी.
📓【कन्झुल उम्माल 】
(११) औरतों पर तुमहारा हक यह है कि जब तुम खाना खाओ तो उसे भी खीलाओ और जब तुम कपडे पहनो तो उसे भी पहनाओ और उसके मूंह पर न मारो...
📓अबु दावुद , इब्नेमाजा
(१२) कामील ईमान वाला वो शख्सै है जिसके अख्लाक अच्छे हो और तुम मै अच्छे वो लोग हैं जो अपनी बीवीयों के साथ अच्छे हैं.
📓तीरमीझी.
✍ Shaikh ul hadees Moulana ahmed sahab.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.