Zill Hijja'h Ki 10 Raato'n ki Kasam
Allah ta'ala ne in 10 dino mai aane wali raato'n ki kasam khayi hai chunancha farmaya :
Kasam hai 10 raato'n ki.
📖 Surah Al Fajr : 2
Hazrat Abdullah Bin Abbas Radi Allah Ta'ala Anha farmate hai'n ke 10 raate'in jinki Allah Ta'ala ne kasam khayi hai woh zill hijja'h ki ibtidai 10 raate'in hai'n.
📖 Shoaib Ul Imaan :3470
Ashra Zill Hijja'h ke her din ka roza ek saal ke rozo'n ke barabar hai :
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai : Zill Hijja'h ke 10 dino'n mai (ibtidaai 9 dino mai se) her din ke roze ka sawab ek saal ke roze ke barabar hai.
📖 Tirmizi : 758
Ashra zill hijja'h ki her raat ka sawab Shab - e - Qadr ke barabar hai :
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshad Hai : Zill hijja'h ke dino'n mai her raat ke ( qayam ) ibadat ka sawab lailatul qadr ki ibadat ke barabar hai.
📖 Tirmizi : 758
Rozo'n ka ehtmaam :
Zill hijja'h ke ibtidai ayyam mai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka mamool roze rakhne ka tha chunanche chunancha azwaje mut'haraat Radi Allah Ta'ala Anhuma farmati hai'n : Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam zill hijja'h ke 9 din roza rakha karte theh.
📖 Abu Dawood : 2437
Aur ashra zill hijja'h mai roze rakhne ki fazeelat per riwayat pehle guzar chuki hai ke zill hijja'h ke 10 dino mai ( ibtidaai 9 dino'n mai se ) her din ke roze ka sawab ek saal ke roze ke barabar hai.
📖 Tirmizi : 758
Ashra zill hijja'h ki mubarak raate'in jinki Allah Ta'ala ne Quran Majeed ke ander kasam khayi hai badi hi ba barkat raate'in hai'n Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne in mubarak raato'n ko shab - e - qadr ke barabar qarar diya hai chunancha hadees mai hai : Zill hijja'h ke 10 dino mai her raat ke qayaam ( ibadat ) ka sawab lailatul qadr ki ibadat ke barabar hai.
📖 Tirmizi : 758
Lihaza in raato'n ko ghaflat aur kotahi ka shikaar hokar guzarna badi nadani hai aur khasare'y ka sauda hai isme zyada se zyada ibadat ka ehtmaam karna chahiye khususan Isha aur Fajar ki namaz jama'at se padhne ka ehtmaam karna chahiye taaki hadees ke mutabik raat bhar ki ibadat ka sawab mil sake.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.