🌷Bismillaahirrahmanirrahim🌷
°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°
🍁 *Seerat-un-Nabi ﷺ (Part 10)*
*Hamaare Nabi ﷺ ka bachpan*
✺Chaar saal ke huwe to ammi jaan ke paas waapas aagaye. Ammi Aap ﷺ ko dekh kar bahot khush huween, muhabbat se paalne lageen. Chhe saal ke huwe to Aap ﷺ ko le kar maike gayeen, raaste mein beemaar ho kar chal baseen. Maan baap donon ka saaya sar se uthh gaya.
✺Umme Aiman Aap ﷺ ko daada miyaan ke paas laayeein, daada miyaan ko bahot dukh huwa. Kya karte marna jeena Allah ke ikhtiyaar mein hai, aai hui ghadi ko kaun taal sakta hai.
✺Bade ho kar pyaare Rasool ﷺ ek baar maqaam-e-"Abwa" se guzre, ammi jaan ki qabr dekh kar Aap ﷺ ka dil bhar aaya. Aap ﷺ ki aankhon mein aansu dekh kar sahaaba bhi rone lage.
✺Ref: (Deeniyat Course book)
°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.