*••═༻Quran Ka Tarjuma༺═••*
┌┅┄┅✽•••❀❀❀•••✽┅┄┅┐
*✽••Post No➛ 19••✽*
└┅┄┅✽•••❀❀❀•••✽┅┄┅┘
*❀ Para No-30 ❀*
*❍╍╍❨Surah At-Takwir❩╍╍❍*
*✦⇝ Is Surah Me 29 Ayat Hai,*
*※⇝15 se 21 Ayat is Post Me Hain.*
*★⇝❥ SHURU KARTA HUN ALLAH KE NAAM SE JO BADE MEHARBAN,NIHAYAT REHAM WALE HAIN.,_*
❶❺➻「Aur Jab Aisa Holnaak Waqia Hone Wala Hai」 To Mein Qasam Khata Hun Unn Sitaron Ki Jo「Sidhe Chalte-Chalte」Piche Ko Hatne Lagte Hain,
❶❻➻ 「Aur Fir Piche Hee Ko」 Chalte Rahte Hain, 「Aur Apne Nikalne Ki Jagahon Me」 Jaa Chupte Hain,
❶❼➻ Aur Qasam Hai Raat Ki Jab Woh Jaane Lage,
❶❽➻ 「Aage Qasam Ka Jawab Hai」Ki Yeh Quran 「Allah Ta'Ala Ka」 Kalaam Hai,
❶❾➻ Ek Izzat Wale Farishte 「Yaani Jibraeel Alaihis Salaam」Ka Laaya Hua Jo Quwwat Wala Hai Aur Arsh Ke Maalik Ke Nazdeeq Rutbe Wala Hai,
❷⓿➻ 「Aur」 Wahan 「Yaani Aasmaano Me」 Uska Kehna Mana Jata Hai, 「Aur Woh」 Amanat Daar Hain,
❷❶➻ Ki 「Wahee Ko Sahi Sahi Pahuncha Dete Hain」Aur Ye Tumhare Saath Ke Rehne Wale 「Muhammed Sallallahi Alaihi Wasallam」Maznoon Nahi Hain,
*🗂 Tafseer Ibne Kaseer Jild 6,Safa 589. {sirf Tarjuma Likha Jaa Raha}*
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
👥→ *_Reα∂ αɳd ғσʀɯαʀd_*
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.