••═༻Quran Ka Tarjuma༺═••
┌┅┄┅✽•••❀❀❀•••✽┅┄┅┐
✽••Post No➛ 27••✽
└┅┄┅✽•••❀❀❀•••✽┅┄┅┘
❀ Para No-30 ❀
❍╍╍❨Surah AL-Mutaffifin❩╍╍❍
※⇝19 se 28 Ayat is Post Me Hain.
★⇝❥ SHURU KARTA HUN ALLAH KE NAAM SE JO BADE MEHARBAN,NIHAYAT REHAM WALE HAIN.,_
❶❾➻Aur 「Aage Badai Aur Rutba Jatane Ke Liye Sawal Hai Ki」 Aapko Kuch Malum Hai Ki "Il'Liyeen" Me Rakha Hua Aamaal-Naama Kya Cheez Hai..?,
❷⓿➻Woh Ek Nishaan Laga Hua Daftar Hai,
❷❶➻Jisko Muqarrab Farishte 「Shauq Se」 Dekhte Hain,
❷❷➻「Aage Unke Aakhirat Ke Badle Ka Bayan Hai Ki」 Nek Log Badi Rahat Wa Aaraam Me Honge,
❷❸➻Masehriyon Par 「Baithe Jannat Ki Ajeeb-Ajeeb Cheezon Ko」Dekhte Honge,
❷❹➻Aye Mukhatab!! To Unke Chehron Me Rahat Wa Aaraam Ki Khushi Wa Taazgi Dekhega,
❷❺➻「Aur」 Unko Peene Ke Liye Mohar-Band Khalis Sharab Milegi,
❷❼➻Aur Us 「Sharab」 Ki Milawat Tasneem「Ke Paani」Ki Hogi,
❷❽➻Yaani Ek Aisa Chashma Jisse Muqarrab Bande Piyenge,
🗂 Tafseer Ibne Kaseer Jild 6,Safa 601. {sirf Tarjuma Likha Jaa Raha}
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
👥→ Reα∂ αɳd ғσʀɯαʀd
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.