*••═༻Quran Ka Tarjuma༺═••*
┌┅┄┅✽•••❀❀❀•••✽┅┄┅┐
*✽••Post No➛ 22••✽*
└┅┄┅✽•••❀❀❀•••✽┅┄┅┘
*❀ Para No-30 ❀*
*❍╍╍❨Surah AL-InFitar❩╍╍❍*
*✦⇝ Is Surah Me 19 Ayat Hai,*
*※⇝7 se 12 Ayat is Post Me Hain.*
*★⇝❥ SHURU KARTA HUN ALLAH KE NAAM SE JO BADE MEHARBAN,NIHAYAT REHAM WALE HAIN.,_*
❼➻ Jisne Tujhko 「Insan」 Banaya, Fir Tere Jismani Ango {Aazaa, Parts} Ko Durust Kiya, Fir Tujhko 「Munasib」 Aetidal Par Banaya,
❽➻「Aur」Jis Surat Me Chaha Tujhko Tarkeeb De Diya,
❾➻ 「In Sab Umoor {Baato} Ka Taqaza Ye Hai Ki Tumko」 Hargiz 「Ghamandi Aur Sarkash」 Nahi 「Hona Chahiye Magar Tum Baaz Nahi Aate」 Balki 「Tum Is Wajah Se Dhoke Me Pad Gaye Ho Ki Tum」 Jazaa Aur Sazaa Hee Ko Jhutlate Ho,
❶⓿➻ Aur Tum Par 「Tumhare Sab Aamaal」 Yaad Rakhne Wale,
❶❶➻ Izzat Wale, Likhne Wale Muqarrar Hain,
❶❷➻ Jo Tumhare Sab Kaamo Ko Jante Hain,
*🗂 Tafseer Ibne Kaseer Jild 6,Safa 592 & 593. {sirf Tarjuma Likha Jaa Raha}*
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
👥→ *_Reα∂ αɳd ғσʀɯαʀd_*
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.