TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Friday, July 6, 2018

Masail-Iddat Ke Masaail

*🍂Iddat Ke Masaail🍂*

*✒Az : Muhammad Najeeb Qasmi Sahab*

*📝Qist 3*

*🌸Iddat Ki Maslihaten :* Iddat ki muta'addad dunyawi-o-ukhrawi maslihaten hen, jin men se ba'az ye hen :

*1-* Iddat se Allah Ta'ala ki razaamandi ka husool hota hai kyunke Allah Ta'ala ke hukm ko bajaa laana ibaadat hai aur ibaadat se Allah ka qurb haasil hota hai.

*2-* Iddat ko waajib qaraar dene ki aham maslehat iss baat ka yaqeen haasil karna hai taake pehle shohar ka koi bhi asar bachcha daani mein na rahe aur bachche ke nasab mein koi shuba baaqi na rahe.

*3-* Nikaah chunke Allah Ta'ala ki ek azeem ne'mat hai, isliye uske zawaal par iddat waajib qaraar di gayi. 

*4-* Nikaah ke buland-o-baala maqsad ki ma'arifat ke liye iddat waajib qaraar di gayi taake insaan usko bachchon ka khel na bana le. 

*5-* Shauhar ke inteqaal ki wajah se ghar/khandaan mein jo ek khalaa paeda huwi hai, uski yaad kuch muddat tak baaqi rakhne ki garz se aurat ke liye iddat zaruri qaraar di gayi.

*🌸Mutafarriq Masaail :*

*1-* Haamila aurat (mutallaqa ya bewa) ki iddat har soorat mein waza'-e-hamal ya suqoot-e-hamal tak hi rahegi.

*2-* Shauhar ki wafaat ya talaaq dene ke waqt se iddat shuru hojaati hai, khwa aurat ko shohar ke inteqaal ya talaaq ki khabar ba'ad mein pohonchi ho.

*3-* Mutallaqa ya bewa ko iddat ke doraan bila uzr-e-shara'ee ghar se baahar nikalna nahi chaahiye. 

*4-* Kisi wajah se shauhar ke ghar iddat guzaarna mushkil ho to aurat apne maike ya kisi dusre ghar mein bhi iddat guzaar sakti hai. [Sura-e-Talaaq] 

*5-* Aurat ke liye iddat ke dauraan dusri shaadi karna jaaiz nahi hai, Albatta rishte ka paighaam aurat ko ishaaratan diya jaa sakta hai. [Sura-e-Baqarah 234-235] 

*6-* Jis aurat ke shauhar ka inteqaal hojaaye, to usko iddat ke doraan khushbu lagaana, singhaar karna, surma aur khushboo ka tel bila zarurat lagana, mehendi lagaana aur zyaada chamak damak waale kapde pehenna durust nahi hai.

*7-* Agar chaand ki pehli taareekh ko shauhar ka inteqaal huwa hai tab to ye maheena khwah 30 ka ho ya 29 ka ho, chaand ke hisaab se poore kiye jaaenge aur 11 taareekh ko iddat khatm hojaaegi.

*8-* Agar pehli taareekh ke alaawa kisi dusri taareekh mein shohar ka inteqaal hua hai to 130 din iddat rahegi. Ulamaa ki dusri raaye ye hai ki jis taareekh mein inteqaal huwa hai uss tareekh se 4 maah ke ba'ad 10 din badha diye jaaen. Masalan 15 Muharram-Ul-Haraam ko inteqaal huwa hai to 26 Jamaad-Il-Awwal ko iddat khatam hojaayegi. 

*9-* Agar aurat shohar ke inteqaal ya talaaq ki soorat mein iddat na kare ya iddat to shuru ki magar mukammal na ki to wo Allah Ta'ala ke banaae hue qanoon ko todne waali kehlaaegi jo bada gunaah haii. Lihaza Allah Ta'ala se tauba-o-istighfaar karke aesi aurat ke liye iddat ko mukammal karna zaruri hai.

*🍂عدت کے مسائل🍂*

*✒از : محمد نجیب قاسمی صاحب*

*📝قسط 3*

*🌸عدت کی مصلحتیں :* عدت کی متعدد دنیوی و اخروی مصلحتیں ہیں جن میں سے بعض یہ ہیں :

*1-* عدت سے ﷲ تعالی کی رضامندی کا حصول ہوتا ہے کیونکہ ﷲ تعالی کے حکم کو بجا لانا عبادت ہے اور عبادت سے ﷲ کا قرب حاصل ہوتا ہے۔

*2-* عدت کو واجب قرار دینے کی اہم مصلحت اس بات کا یقین حاصل کرنا ہے تاکہ پہلے شوہر کا کوئی بھی اثر بچہ دانی میں نہ رہے اور بچے کے نسب میں کوئی شبہ باقی نہ رہے۔

*3-* نکاح چونکہ ﷲ تعالی کی ایک عظیم نعمت ہے اس لئے اس کے زوال پر عدت واجب قرار دی گئی۔

*4-* نکاح کے بلند و بالا مقصد کی معرفت کے لئے عدت واجب قرار دی گئی تاکہ انسان اس کو بچوں کا کھیل نہ بنالے۔

*5-* شوہر کے انتقال کی وجہ سے  گھر/ خاندان میں جو ایک خلا پیدا ہوا ہے اس کی یاد کچھ مدت تک باقی رکھنے کے غرض سے عورت کے لئے عدت ضروری قرار دی گئی۔ 

*🌸متفرق مسائل:*

*1-* حاملہ عورت (مطلقہ یا بیوہ)  کی عدت ہر صورت میں وضع حمل یا سقوط حمل تک ہی رہے گی۔

*2-* شوہر کی وفات یا طلاق دینے کے وقت سے عدت شروع ہوجاتی ہے خواہ عورت کو شوہر کے انتقال یا طلاق کی خبر بعد میں پہنچی ہو۔

*3-* مطلقہ یا بیوہ عورت کو عدت کے دوران بلا عذر شرعی گھر سے باہر نکلنا نہیں چاہیئے۔

*4-* کسی وجہ سے شوہر کے گھر عدت گزارنا مشکل ہو تو عورت اپنے میکے یا کسی دوسرے گھر میں بھی عدت گزار سکتی ہے۔ [سورة الطلاق] 

*5-* عورت کے لئے عدت کے دوران دوسری شادی کرنا جائز نہیں ہے؛ البتہ رشتہ کا پیغام عورت کو اشارة دیا جاسکتا ہے۔ [سورہ بقرہ 234، 235] 

*6-* جس عورت کے شوہر کا انتقال ہوجائے تو اس کو عدت کے دوران خوشبو لگانا، سنگھار کرنا، سرمہ اور خوشبو کا تیل بلا ضرورت لگانا، مہندی لگانا اور زیادہ چمک دمک والے کپڑے پہننا درست نہیں ہے۔

*7-* اگر چاند کی پہلی تاریخ کو شوہر کا انتقال ہوا ہے تب تو یہ مہینے خواہ 30 کے ہوں یا 29 کے ہوں چاند کے حساب سے پورے کئے جائیں گے اور 11 تاریخ کو عدت ختم ہوجائے گی۔

*8-* اگر پہلی تاریخ کے علاوہ کسی دوسری تاریخ میں شوہر کا انتقال ہوا ہے تو 130دن عدت رہے گی۔ علما کی دوسری رائے یہ ہے کہ جس تاریخ میں انتقال ہوا ہے اس تاریخ سے 4 ماہ کے بعد 10 دن بڑھا دئے جائیں مثلاً 15 محرم الحرام کو انتقال ہوا ہے تو 26 جمادی الاول کو عدت ختم ہوجائے گی۔

*9-* اگر عورت شوہر کے انتقال یا طلاق کی صورت میں عدت نہ کرے یا عدت تو شروع کی مگر مکمل نہ کی تو وہ ﷲ تعالی کے بنائے ہوئے قانون کو توڑنے والی کہلائے گی جو بڑا گناہ ہے، لہٰذا ﷲ تعالی سے توبہ و استغفار کرکے ایسی عورت کے لئے عدت کو مکمل کرنا ضروری ہے۔

[[...جاری...]]

*📮پیشکش : سسٹرز ان اسلام گروپ*
---------------------------------------------------------

[[...Jaari...]]

*📮Pesh Kash : Sisters In Islam Group*

FIQHI MASAIL
Official channel for masail
By Mufti Huzaifa Palanpuri db
https://t.me/MasailByMuftiHuzaifaPalanpuri

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.