💢❄💢❄ ﷽ 💢❄💢
╂─────────────────╂
🕋 SAWALAAT-E-HAJJ 🕋
╂─────────────────╂
┗────┯ posт ղo☞12
✧⇝❥Hajj Me Jane Walon Ko Haqeeqee Tayyari Kya Karni Chahiye.....??
★➻Agar Aap Par Hajj Farz Hai Aur Aapne Hajj Par Jane Ka Iradaa Kar Liyaa Hai, To Is Neamat Ki Qadro Qimat Ko Pahchanna Chahiye, Aur Apne Andar Mahsus Karna Chahiye Ke Allah Taala Ne Apne Muqaddas Ghar Aur Apne Mahboob Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Muqaddas Shahar Ki Haazri Ki Baat Aap Ke Dil Me Daali Waise To Har Momin Haazri Dena Chahata Hai, Lekin Allah Ta'Ala Ne Asbaab Bhi Aapko Muhaiyya Farma Diye,
Ab Is Ne'Amat Ka Shukriya Ye Hai Ke Apne Aap Ko Harmain Sharifain Ke Rehmato Barkato Anwarat Aur Tajalliyat Ke Faidah Uthane Ke Liye Apne Aapko Hajj Ke Aamaal Seekhne Ki Taiyari Karna Chahiye,
Isliye Ke Bada Hee Bad-Naseeb Hai Wo Shakhs Jisko Uska Allah Behtareen Safar Nasib Kare Aur Wo Apne Aapko Wahan Ki Haazri Ke Aadab Aur Tareeqa Sikhne Ki Aur Banne Sanwarne Ki Fikr Na Kare, Aur Yunhi Gaflat Aur Naa Samjhi Ke Sath Waha Ja Pahonche,
Isliye Zaroori Hai Ke Ham Deen Ka Ilm Sikh Kar Aur Apne Gunahon Se Sachchi Taoba Kar Ke Aur Logon Ke Huquq Baqi Ho To Usko Adaa Kar Ke, Ya Muaaf Kara Kar Paak Saaf Ho Kar Allah Ta'Ala Ke Aali Darbaar Me Pahonche,
Alhamdulillah Har Shaher Me Aur Har Jagah Hajj Ke Aadab Aur Arkan Sikhane Ki Fikr Hoti Hai, Camp-Jod Bhi Hote Hai, Aur Masjido Me Bhi Hajj Ke Aadab Sikhaye Jate Hai,
Aap Apna Qimti Waqt Nikal Kar Masturat Ko Masturat Ke Liye Jaha Arkan Seekhaye Jate Ho Bheje, Aur Khud Bhi Paabandi Se Jude Aur Hajj Sikhne Ke Liye Muatabar Kitaben Bhi Kharid Kar Padhna Shuru Kar Den,
Aur Aam Sathi Bhi Fikr Karle Ke Jo Hazrat Hajj Par Ja Rahe Hai Unhe Haj Ke Arkan-O-Ahkam Sikhne Ki Targeeb De, Ho Sakta Hai Aap Ki Mehnat Se Kai Logon Ka Hajj Saheeh Ho Jaye Aur Aap Zariya Ban Jaye,
★Allah Taala Mujhe Bhi Aur Sabko Har Amal Seekh Kar Fikro Ke Sath Karne Ki Taufeeq Ataa Farmaye.
📮☞ Next Post Bhahut Jald In Sha Allah
💢❄💢❄💢❄💢❄💢
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.