💢❄💢❄ ﷽ 💢❄💢
╂─────────────────╂
🕋 SAWALAAT-E-HAJJ 🕋
╂─────────────────╂
┗────┯ posт ղo☞11
✧⇝❥Hajj Ki Yaddasht Ke Waste Ham Taswir Nikal Sakte Hai Kya.?
★➻Taswir Nikalna Har Halat Me Mana Hai.
Haj Me Taswir Nikalne Me Ye Jazba Hota Hai Ke Hum Dusre Milne Julne Walo Ko Taswir Bataenge Ke Dekho Hamari Ye Makka Ki Photo Hai. Aur Ye Madina Ki Photo Hai.
Lihaza Agar Isme Riyakari Yaani Dikhawa Karne Ka Jazba Shamil Ho Gaya To Hajj Ka Sawab Bhi Gaya, Isliye Nahi Nikalna Chahiye.
✦➛🗂➻✦Mustafad Az Masaile Hajj O Umrah
❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁
✧⇝❥Agar Haram Sharif Me Wuzu Toot Jaye Aur Namaz Ka Waqt Qarib Hai To Kya Tayammum Kar Sakte Hai.?
★➻Ji Nahi. Bilkul Tayammum Nahi Kar Sakte.
Balke Wuzu Hee Karna Zaruri Hai.
Ha Itni Gunjaish Nikal Sakti Hai Ke Bahar Jane Ka Mauqa Nahi Hai To Jahan Zamzam Ke Nal Lage Howe Hai Aur Pani Jane Ki Naali Bhu Hai.(Na Ke Cooler ) Wahan Ja Kar Wuzu Kar Le.
Agarche Baaz Ulama Ne Zamzam Se Wuzu Karne Ko Makruh Likha Hai. Lekin Sahebe Durre Mukhtar Ne Zamzam Se Wuzu Ko Bila Karahat Jaiz Likha Hai.
Note-Ye Masla Bhi Wahan Bohot Pesh Aata Hai. Log Wuzu Karne Ke Liye Jane Me Susti Karte Hai Aur Tayammum Karte Hai.
📮☞ Next Post Bhahut Jald In Sha Allah
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.