💢❄💢❄ ﷽ 💢❄💢
╂─────────────────╂
🕋 SAWALAAT-E-HAJJ 🕋
╂─────────────────╂
┗────┯ posт ղo☞17
✧⇝❥Ehram Ki Halat Me Sharbat Ya Chai Pine Ka Kya Hukm Hai...?
✧≫Pine Ki Chizo Me Khushbudar Chiz Pakane Se Bhi Masla Nahi Badalta Jabke Khane Ki Chizon Me Khushbu Daar Chiz Agar Paka Li Jaye To Kha Sakte Hai Jaise Salano Me Khushbu Daar Masale Daal Kar Paka Liya Gaya To Kha Sakte Hai.
✧≫Ek Raay. Ehraam Ki Halat Me Coldrink Istimaal Karne Se Bache . Kya Pata Kis Me Khushbu Jyada Miqdar Me Istmaal Kiya Gaya Ho.Agar Kuch Pina Hee Hai To Dahi Me Shakkar Dal Kar Lassi Bana Kar Pi Le.
✧⇝❥Ehram Ki Halat Me Manjan Ya Tooth Paste Istimal Karne Ka Kya Hukm Hai....?
★➻Agar Manjan Ya Tooth Paste Me Long Ya Kafoor Ya Koi Khushbudaar Chiz Mili Hui Ho Aur Paka Howa Na Ho To Agar Ye Chizeen Galib Ho {Yani Jyada Quantity Me Ho} To Muh Ke Aksar Hisse Me Lagne Ki Wajah Se Dam Aaega.
✧≫Behtar Ye Hai Ke Ehram Ki Halat Me Miswak Hee Istimal Kare Manjan Ya Tooth Paste Istimal Hee Na Kare.
✦➛ Masaile Hajj O Umrah
📮☞ Next Post Bhahut Jald In Sha Allah
💢❄💢❄💢❄💢❄💢
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.