TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Monday, June 18, 2018

Shawwal Ke 6 Roze Aur Unke Muta'addad Fawaaid

*🌺Shawwal Ke 6 Roze Aur Unke Muta'addad Fawaaid🌺*

*★Qist 1★*

🍂Sayyaduna Abu Ayyub Ansaari Razi Allahu Anhu se riwaayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaaya : Jis ne Ramazaan ke roze rakhe, uske ba'ad Shawwal ke 6 roze rakhe, to ye hamesha roza rakhne ke maanind hai. [Saheeh Muslim : 1164, As-Siyaam, Sunan Abu Dawood : 2433 : As-Saum, Sunan Tirmizi : 759 : As-Saum] 

*Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya :* Jis ne Ramazaan ke roze rakhe, phir uske ba'ad Shawwal mein 6 roze rakhe, to usne goya zamaane bhar (hamesha ya saal bhar) roze rakhe. [Saheeh Muslum : 2758, Kitaab-Us-Siyaam] 

*Tashreeh :* Musalmaano ko unke nek aa'maal par Allah Tabaarak Wa Ta'ala apne fazl-o-karam se kam az kam 10 guna ajar ataa farmaata hai : "Jo shakhs nek kaam karega, usko uske 10 guna milenge aur jo shakhs bura kaam karega usko uske baraabar hi saza milegi aur un logon par zulm na hoga." 

Isi qaide ke mutabiq ek maheene Ramazaan ke roze 10 maheeno ke barabar hen aur uske baad Shawwal ke 6 roze bhi rakh liye jaaein to ye do maheeno ke barabar hogaye, yun goya Ramzaan ke ba'ad Shawwal ke 6 roze rakh lene waala pure saal roza rakhne ke ajar ka mustahiq thehra, dusre lafzon mein usne pure saal ke roze rakhe aur jis ka ye mustaqil mamool raha to wo aese hai jaese usne puri zindagi farz roze ke saath guzaari. Iss aetebaar se ye 6 roze badi ahmiyat ke haamil hen, go unki haisiyat nafl rozon hi ki hai.

*Chunaanche Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya :* Ramazaan-Ul-Mubaarak ke roze 10 maah aur Shawwal ke 6 roze do maah ke barabar hen, to iss tarah ke poore saal ke roze hue. [Saheeh Ibne Khuzaima : 2115, An-Nasai-ul-Kubra : 2873, Saheeh]

🍂Ye 6 roze mutawaatir rakh liye jayein ya naagha kar ke, dono tarah jaiz hein, taaham Shawwaal ke mahine mei rakhne zaroori hein, isi tarah jinke farz roze bimaari ya safar waghera ya kisi aur shara'ee uzr ki waja se reh gaye hon unke liye aham ye hai ke pehle wo farz rozon ki qaza karein.

Iss baare mei ba'az ulamaa ki raaye ye hai ke Ramazaan ke rozon ki qaza pehle di jaye aur phir Shawwaal ke 6 roze rakhe jayein, lekin is baare mei raajeh mauqif yahi hai ke behtar to yahi hai ke pehle Ramzaan ke rozon ki qaza di jaye kyunke ye farz hein; Albatta dalaail ki bunyaad par ye gunjaish maujood hai ke Ramazaan ki qaza se pehle Shawwaal ke roze rakhe jaa sakte hein, Ramazaan ke rozon ki qaza fauri taur par waajib nahi hai balke kisi bhi maah mein Ramazaan ke faut shuda rozon ki qaza ki jaa sakti hai. Nabi-e-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamaane mein auraten hattaa ke Azwaaj-e-Mutah'haraat Razi Allahu Anhunn apne Ramazaan ke faut shuda rozon ki qaza umooman 11 maah baad, Maah-e-Sha'baan mei kiya karti then, jaesa ke ahaadees men mazkoor hai.

((...Jaari...))

*✍Hazrat Mufti Huzaifa Sahab Palanpuri (db)🎓*
------------------------------------------------------------

*🌺The 6 Fasts Of Shawwal And Their Numerous Benefits🌺*

*★Qist 1★*

🍂Sayyaduna Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu reports that The Prophet of Allah, Sallallahu Alaihi Wasallam stated : He who observed the fasts of Ramadhan, then observes the six fasts of Shawwal, is as though fasting throughout. [Saheeh Muslim : 1164, As-Siyaam, Sunan Abu Dawood : 2433, As-Saum, Sunan Tirmizi : 759, As-Saum]

*Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam States :* The one who observed the fasts of Ramazaan, then observed the six fasts of Shawwal, it is just like he observed the fasts of the entire year or the entire life. [Saheeh Muslim : 2758, Kitaab-us-Siyaam] 

*Explanation :* Allah Subhaanahu Wa Ta'ala rewards, a minimum 10 times more, for every good deed a muslim does : "Whoever comes (on the day of judgement) with a good deed will have 10 times the like thereof to his credit and whoever comes with an evil deed will not be recompensed except the like thereof, and they will not be wronged" [Sura-tul-An'aam 160]

According to this, the fasts of Ramadhan are equal to the fasts of ten months and if one observes the six fasts of Shawwal after them, then they will be equal to two months. Then the observer of six fasts of Shawwal after the fasts of the month of Ramadhan deserves the reward of observing fasts of the whole year. In other words, he observed fasts for the whole year and the one who has the habit of observing these fasts is as though he spent his life in observing the fasts of the whole year. According to this, these six fasts are of great importance, even though they are nafl fasts.

*Hence, Messenger Of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Said :* The fasts of Ramadhan are equal to the ten months and the six fasts of Shawwal are equal to two months, and in this way the fasts are considered for the entire year. [Saheeh Ibne Khuzaima : 2115, An-Nasai-Ul-Kubra : 2873, Saheeh] 

🍂These 6 fasts whether kept consecutively or intermittently, both are permissible, but necessarily will have to observed in the month of shawwal. Similarly  it is better for people who have missed their obligatory fasts due to illness, travel, or any valid reason to observe their missed fasts first.

According to many scholars, the missed fasts of Ramadhan ought to be observed first and then the 6 fasts of Shawwal after that. But the most preferred statement regarding this is to first observe the missed fasts of Ramadhan since they are obligatory, but on the basis of evidences there is permissibilty of observing the 6 fasts of Shawwal before the missed fasts of Ramadhan. The observance of the missed fasts of Ramadhan is not necessary immediately but can be observed in any of the months throughout the year. During the era of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam, as mentioned in the hadeeth, women including the wives of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam would observe their missed fasts after 11 months ie, in the month of Sha'baan.


((...To Be Continued...))

*✍Hazrat Mufti Huzaifa Sahab Palanpuri (db)🎓*

*🌺شوال کے چھ روزے اور ان کے متعدد فوائد🌺*

*★قسط 1★*

🍂سيدنا ابو ایوب انصاری رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا : جس نے رمضان کے روزے رکھے اسکے بعد شوال کے چھ روزے رکھے تو یہ ہمیشہ روزہ رکھنے کے مانند ہے۔ [صحیح مسلم : 1164 الصیام، سنن ابوداود : 2433 الصوم، سنن الترمذی: 759 الصوم]

*رسول الله صلى الله عليه وسلم نے فرمایا :* جس نے رمضان کے روزے رکھے، پھر اسکے بعد شوال میں چھ (6) روزے رکھے تو اس نے گویا زمانہ بھر (ہمیشہ یا سال بھر) روزے رکھے- [صحیح مسلم 2758 کتاب الصیام] 

*تشریح :* مسلمانوں کو انکے نیک اعمال پر اللہ تبارک و تعالی اپنےفضل وکرم سے کم از کم دس گنا اجر عطا فرماتا ہے-

[مَن جَاء بِالْحَسَنَةِ فَلَهُ عَشْرُ أَمْثَالِهَا وَمَن جَاء بِالسَّيِّئَةِ فَلاَ يُجْزَى إِلاَّ مِثْلَهَا وَهُمْ لاَ يُظْلَمُونَ] [الانعام : 160] 

*ترجمہ :* جو شخص نیک کام کرے گا اسکو اسکے دس گناملیں گے اور جو شخص برا کام کرے گا اسکو اسکے برابر ہی سزاملے گی اور ان لوگوں پر ظلم نہ ہوگا ۔

اسی قاعدے کے مطابق ایک مہینے رمضان کے روزے دس مہینوں کے برابر ہیں اور اسکے بعد شوال کے چھ روزے بھی رکھ لئے جائیں تو یہ دو مہینوں کے برابر ہو گئے، یوں گویا رمضان کے بعد شوال کے چھ روزے رکھ لینے والا پورے سال روزہ رکھنے کے اجر کا مستحق ٹھہرا، دوسرے لفظوں میں اس نے پورے سال کے روزے رکھے اور جس کا یہ مستقل معمول رہا تو وہ ایسے ہے جیسے اس نے پوری زندگی فرض روزے کے ساتھ گزاری، اس اعتبار سے یہ چھ روزے بڑی اہمیت کے حامل ہیں ،گو انکی حثیت نفلی روزوں ہی کی ہے-

*چنانچہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :* [صِيَامُ رَمَضَانَ بِعَشَرَةِ أَشْهُرٍ، وَصِيَامُ السِّتَّةِ أَيَّامٍ بِشَهْرَيْنِ، فَذَلِكَ صِيَامُ السَّنَةِ» ، يَعْنِي رَمَضَانَی وَسِتَّةَ أَيَّامٍ بَعْدَهُ] 

*ترجمہ :* رمضان المبارک کےروزے دس ماہ اور شوال کے چھ روزے دو ماہ کے برابر ہیں تواس طرح کہ پورے سال کے روزے ہوئے- [صحیح ابن خزیمہ :2115، النسائی الکبری : 2873، (صحيح)] 

🍂یہ چھ روزے متواتر رکھ لئے جائیں یا ناغہ کرکے دونوں طرح جائز ہیں تاہم شوال کے مہینے میں رکھنے ضروری ہیں ،اسی طرح جنکے فرض روزے بیماری یاسفر وغیرہ یا کسی اور شرعی عذر کی وجہ سے رہ گئے ہوں انکے لئے اہم یہ ہے کہ پہلے وہ فرض روزوں کی قضا کریں۔

اس بارے میں بعض علما کی رائے یہ ہے کہ رمضان کے روزوں کی قضا پہلے دی جائے اور پھر شوال کے چھ روزے رکھے جائیں۔ لیکن اس بارے میں راجح موقف یہی ہے کہ بہتر تو یہی ہے کہ پہلے رمضان کے روزوں کی قضا دی جائے کیونکہ یہ فرض ہیں، البتہ دلائل کی بنیاد پر یہ گنجائش موجود ہے کہ رمضان کی قضا سے پہلے شوال کے روزے رکھے جاسکتے ہیں۔ رمضان کے روزوں کی قضاء فوری طور پر واجب نہیں ہے بلکہ کسی بھی ماہ میں رمضان کے فوت شدہ روزوں کی قضاء کی جا سکتی ہے۔ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے زمانے میں عورتیں حتی کہ ازواج مطہرات رضی اللہ عنہن اپنے رمضان کے فوت شدہ روزوں کی قضاء عموما گیارہ ماہ بعد ماہِ شعبان میں کیا کرتی تھیں جیسا کہ احادیث میں مذکور ہے ۔

((...جاری...))

*​✍حضرت مفتی حذیفہ صاحب پالنپوری🎓​*
-------------------------------------------------------

FIQHI MASAIL
Official channel for masail
By Mufti Huzaifa Palanpuri db
https://t.me/MasailByMuftiHuzaifaPalanpuri

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.