*┌━──✿────✿──━┐*
🌷 *⚞﷽⚟* 🌷
*└━──✿────✿──━┘*
*★ SHABE - QADR ★*
Shab-E-Qadr Me 4 Qism Ke Logon Ki Magfirat Nahi Hoti,
❶ . Sharaabi,*Ramzan Aur Sharabi*
╨
*✴ ↬Har Nasha Waali Cheez Haraam Hai*
Mafhoom-E-Hadees: Jabir (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Jaishaan Se Ek Aadmi Aaya Aur Jaishaan Ek Shahar (Town) Hai Yeman Me, Uss Aadmi Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se
Uss Sharaab Ke Baare Me Puchha Ke Jo Unn Ilaqon Me Pee Jati Hai
Aur Wo Sharaab Jo Taiyaar Hoti Hai Uss Sharaab Ko Mizr Kaha Jata Tha.
Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) Waali Hai?”
*⚂↬Uss Ne Arz Kiya, “Ji Haan!”*
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya *“Har Nasha Wali Cheez Haraam Hai, Kyun Ke Allah Ta’Ala Ka Uss Aadmi Ke Liye Waada Hai Ke Jo Aadmi Nasha Waali Cheez Peeyega Ussey Allah Ta’Ala Tinatah-Al-Khabaal Peelayega”,*
⚃↬Sahaba Ne Arz Kiya “Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Tinatah-Al-Khabaal Kya Cheez Hai? To Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya *“Dozakhiyon Ka Pasina Hai”.*
☛📁 *[ Sahih-Muslim, Vol-No: 05, Hadees-No: 5217 ]*
*✴ ↬Sharaab Tamaam Buraaiyon Ki Jad Hai*
Mafhoom-E-Hadees: Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farmane Ibrat Nishan Hai Ke,
“Hargiz Sharaab Na Peena!
Isliye Ki Sharaab Tamaam Buraaiyon Ki Jad Hai..”
☛📁 *[ Musnad-E-Ahmad Hadis No.21570 ]*
*✴ ↬Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi*
Mafhoom-E-Hadees: Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya ‘Zinaa Karne Wala Zinaa Karte Waqt Momin Nahi Rehta, Sharaab Peene Wala Sharaab Peete Waqt Momin Nahi Rehta,
Chori Karne Wala Chori Karte Waqt Momin Nahi Rehta, Jab Koi Lootne Wala Loot’Ta Hai Aur Log Use Dekhte Hain Uss Waqt Wo Bhi Momin Nahi Rahta”.
☛📁 *[ Sahih Bukhari, Vol.8, Hadith No. 6772 ]*
*✴ ↬Sharabi Ki Saza*
*Jo Shakhs Chori, Sharaab-Khoori Ya Zinaa Me Marta Hai*
Mafhoom-E-Hadees: Farmane Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ki –
“Jo Shakhs Chori Ya Sharaab-Khoori Ya Zinaa Me Mubtela Ho Kar Marta Hai, Uss Par Do Saanp(Snake) Mukarrar Kar Diye Jate Hai Jo Uska Gosht Noch Noch Kar Khate Hai.”
☛📁 *[ Kitab-Ul-Zakrimah, Mosu’A Imaam Ibne Abil Duniya, Jild 5, Page No:476, Hadith No.257 ]*
*♻☛Note: Jo Cheez Ya Aamal Insan Ko Madhosh Karde Aur Wo Apne Rab Ke Zikr-Wa-Rehmato Se Thodi Der Ke Liye Bhi Gafeel Ho Jaye Aisi Har Cheeze Haraam Hai, Fir Chahe Woh Sharaab Ho Tambakhu, Guthka Ho Ya Gaana-Bajana.*
*✴ ↬Sharabi Ki Namaz Qabool Nahi*
Mafhoom-E-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya:
“Sharaab Khabaasatoun Ki Jad Hai, Jis Ne Sharaab Pee, 40 Roz Uski Namaz Qabool Nahi Hogi.
Wo Aadmi Jahliyat Ki Mout Marega Jiske Pait Me Marte Waqt Sharaab Hogi.”
☛📁 *[ Kitab-Ul-Zakrimah, Mosu’A Imaam Ibne Abil Duniya, Jild 5, Page No:476, Hadith No.257 ]*
*Naseehat-To Jo Log Sharab Ke Aadi Hai Usko Chahiye Ka Usse Allah Se Tauba Kare Kyu Ke Ramanz Jaisa Ba-Barkat Mahina Aur Lailtul Qadr Jaisi Raat Me Aise Logo Ki Magfirat Nahi Hoti 40 Din Tak Ibadat Qabool Nahi, Aur Zahiliyat Ki Maut Marega, To Yeh Sakht Mahrumi Ki Baat Hai.*
👥→ *_ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd_*
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.