TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Friday, June 8, 2018

Shab-e-Qadr Ki Fazeelat-o-Ahmiyat

*🍂Shab-e-Qadr Ki Fazeelat-o-Ahmiyat🍂*

*♦Sawaal :* Mohtaram Mufti Sahab! Shab-e-Qadr ke fazaail bayaan farmaiyye. Nez in taaq raaton men kis tarah ibaadat ki jaaye, iss silsile men rehnumaayi farmaiyye. 

*🅰Jawaab :* Shab-e-Qadr ki koi makhsoos namaaz nahi. Iss raat men aadmi jo chaahe ibaadat kare, tahajjud padhe, nawaafil padhe, tilaawat-o-azkaar kare, lekin tanha tanha kare, khaas Shab-e-Qadr men isi naam se koi namaaz baa jama'at saabit nahi. Taraweeh ke alaawa sunan-o-nawaafil men jama'at mashroo' nahi. 

*🌺Layla-tul-Qadr :* Shab-e-Qadr; Qaabil-e-qadr he. Ramazaan-Ul-Mubaarak ke aakhri ashre ki taaq raaton men ise talaash karne ki koshish karen, ya'ani 21, 23, 25, 27 aur 29 Ramazaan-Ul-Mubaarak ki raaton ko khoob ibaadat karen. Qura'an-e-Kareem men he ke ye raat hazaar maheeno se zyaada behtar he. Isliye iss raat Namaaz-e-Isha ba jama'at adaa karen aur apni himmat ke mutaabiq ibaadaat karen. Tilaawat-e-Quraan, zikr-o-azkaar, nawaafil, salaat-ut-tasbeeh, Hadees-e-Paak ya kisi bhi deeni kitaab ka mutalla karen. Yahaan bhi ek baat qaabil-e-tawajjo he ke ba'az log iss raat men nawaafil par khoob zor dete hen, lekin qazaa namaazon ki adaayegi par tawajjo nahi dete. Wo log jinki kuch namaazen kisi bhi wajah se qaza ho chuki hon, unke liye behtar yahi he ke wo iss raat nawaafil ki bajaaye qaza namaazon ki adayegi men masroof rahen. 
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -

*💖Shab-e-Qadr Ki Ahmiyat-o-Fazeelat Qura'an-o-Hadees Ki Roshni Men💖*

*🌹Shab-e-Qadar Ki Fazeelat Qura'an Ki Roshni Men :*

[إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ تَنَزَّلُ الْمَلاَئِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ سَلاَمٌ هِيَ حَتَّى مَطْلَعِ الْفَجْر] [سورة القدر]

*Tarjama :* Ham ne iss Qura'an ko Shab-e-Qadr men naazil kiya. Tumhen kya maloom Shab-e-Qadr kya he? Shab-e-Qadr ek hazaar raaton se behtar he. Iss din farishte aur Rooh-Ul-Ameen (Jibrail Alaihissalam) apne rab ki ijaazat se har hakeemaana hukm le kar naazil hote hen. Ye salaamati waali raat Fajr ke tuloo hone tak rehti he.

[إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةٍ مُبَارَكَةٍ إِنَّا كُنَّا مُنْذِرِينَ۔ فِيهَا يُفْرَقُ كُلُّ أَمْرٍ حَكِيم] [سورہ الدخان: ۳،۴]

*Tarjama :* Bila shuba ham ne iss (Kitaab-e-Hakeem) ko ek badi hi baa barkat raat (Shab-e-Qadr) men hi utaara he ke hamen beher haal khabardaar karna he, jis men faisla kiya jaata he, har hikmat waale kaam ka.

*🌺Shab-e-Qadr Ki Ibaadat Se Pichle Gunaah Mu'aaf Ho Jaate Hen :* Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwaayat karte hen ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaaya ke jo shakhs Shab-e-Qadr men imaan ki haalat men sawaab ki niyat se qiyaam karega, to uske pichle gunaah mu'aaf ho jaaenge. 

*🌺Shab-e-Qadar Ki Ta'ayeen :* Abu Salma Razi Allahu Anhu se riwaayat he ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke mujhe wo raat dikhaayi gayi thi, magar phir bhula diya gaya. Lihaaza ab tum usey Ramzaan ki aakri taaq raaton men talaash karo.

*🌹Shab-e-Qadar Ko Aakhri Ashre Ki Taaq Raaton Men Talaash Karne Ka Hukm :* Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwaayat karti hen ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke Shab-e-Qadr ko Ramazaan ki aakhri 10 raaton men talaash karo. 

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwaayat karti hen ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramazaan ke aakhri ashre men aetekaaf karte the, aur kehte the ke Shab-e-Qadr ko Ramazaan ki aakhri 10 raaton men talaash karo.

*🌹Shab-e-Qadr Ko Aakhri 7 Raaton Men Talaash Karne Ka Hukm :* Ibne Umar Razi Allahu Anhuma se riwaayat he ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaaya : Jisko Shab-e-Qadr ki talaash karni ho, wo aakhri 7 raaton men talaash kare. 

*🌹Shab-e-Qadr Ke Sattaiswein (27) Raat Men Talaash Karne Ka Bayaan :* Zarr bayaan karte hen ke unhone Ubayi Bin Ka'ab se suna, wo keh rahe the ke Allah Ki Qasam! Me jaanta hun ke wo konsi raat he jis ke baare men Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne qiyaam karne ka hukm diya he, ye sattaiswein (27) raat he. Iski nishaani ye he ke iss din subah ko sooraj sufed hota he aur usmen shua'aen nahi hoti hen.

*🌹Shab-e-Qadar Ko Unteeswein (29) Aur Te'iswein (23) Raat Men Talaash Karne Ka Bayaan :* Ibne Abbas Razi Allahu Anhuma se riwaayat he ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaaya ke Shab-e-Qadr aakhri ashre men jab 9 raat guzren tab ya'ani unteeswein (29) raat men ya jab 7 raaten baaqi hon ya'ani te'iswein (23) raat men he. 

*🌹Shab-e-Qadr Ko Ekkiswein (21), Te'iswein (23), Aur Paccheeswein (25) Raat Men Talaash Karne Ka Bayaan :* Ibne Abbas Razi Allahu Anhuma se riwaayat he ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke Shab-e-Qadr ko Ramzaan ki aakhri 10 raaton men talaash karo, jab 7 din baaqi hon, aur jab 5 din baaqi hon. Ya'ani ekkiswein (21), te'iswein (23) aur paccheeswein (25) raat. 

*💠Shab-e-Qadr Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Bhula Di Gayi :* Ubaada Bin Saamit Razi Allahu Anhu se riwaayat he ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam hamen Shab-e-Qadr ke baare men bataane le liye nikle, usi dauraan do musalmaan (kisi muamle men) aapas men jhagad pade, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaaya : Me nikla tha ke tum logon ko Shab-e-Qadr ke baare men bataaun, magar fulaan fulaan jhagadne lage aur iska ilm utha liya gaya (bhula diya gaya). Mujhe umeed he ke ye tumhaare haq men behtar hi he. Lihaaza tum log iss raat ko unteeswein (29), sattaiswein (27), aur paccheeswein (25) raat men talaash karo.

*💎Aakhri Ashre Men Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Amal :* Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bayaan karti hen ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam jab aakhri 10 dino men daakhil hote to (ibaadat ke liye) kamar kas lete, khud bhi shab bedaari karte aur ghar waalon ko bhi jagaate the. 

*🌺Shab-e-Qadar Ki Dua :* Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwaayat he ke unhone Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se daryaaft kiya ke agar mujhe Shab-e-Qadr mil jaaye to me konsi dua padhun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke tum padho :

*[[اَللّٰهُمَّ إنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّيْ]]*

_[[Allahumma Innaka 'Afuwwun Tuhibb-Ul-'Afwa Fa'fu Anni]]_

*Tarjama :* Aye Allah! Tu maaf karne waala he, maafi ko pasand karta he, lihaaza tu hamen maaf karde. 

*✅Khulaasa-e-Kalaam :* Shab-e-Qadr konsi raat he, iss baare men koi hatami baat nahi kahi jaa sakti. Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se 21, 23, 25, 27 aur 29wein Ramazaan ki sabhi raaton ke baare men hadeesen milti hen, yahi wajah he ke Muhaddiseen-e-Kiraam ka kehna he ke ye raat har saal tabdeel hoti rehti he. Khud Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko iss raat ke baare men bhula diya gaya. Aese men kisi ek raat ko apni taraf se Shab-e-Qadr maan kar baqiya taaq raaton ko ibaadat se gaafil rehna bohot badi mehrumi ka sabab he. Kaheen aesa na ho ke jis raat ko ham Shab-e-Qadr maan rahe hon, wo uske alaawa kisi aur raat men ho, jabke aakhri ashre ki sabhi raaton men talaash karne men ye khatra nahi. Iss raat ko posheeda rakhne ka maqsad bhi yahi he ke banda zyaada se zyaada Allah ki ibaadat kar sake. 

*✍Hazrat Mufti Huzaifa Sahab Palanpuri (db)🎓*

FIQHI MASAIL
Official channel for masail
By Mufti Huzaifa Palanpuri db
https://t.me/MasailByMuftiHuzaifaPalanpuri

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.