TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Monday, June 11, 2018

Salaat-ut-Tasbeeh Ka Tareeqa Aur Masaail

*🍂Salaat-ut-Tasbeeh Ka Tareeqa Aur Masaail🍂*

*📝Naashir :* Daar-Ur-Rayyan Karachi.

🍃Shab-e-Baraat-o-Shab-e-Qadr men aam taur par log infiraadi ibaadat karne men salaat-ut-tasbeeh padhne ka tareeqa puchte hen. Isi munaasibat se uska tareeqa aur chand aham masaail Hazrat Sheikh-Ul-Hadees Maulana Muhammad Zakariya Kandhalwi Rahimahullah ki ma'aroof kitaab Fazaail-e-Zikr se kuch ikhtesaar ke saath pesh-e-khidmat he.

♦Huzoor-e-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek martaba apne chacha Hazrat Abbas Razi Allahu Anhu se farmaaya : Aye Abbas! Aye Mere Chacha! Kya me tumhen ek atiya karun? Ek bakhshish karun? Ek cheez bataaun? Tumhen 10 cheezon ka maalik banaaun? Jab tak iss kaam ko karoge to Haq Ta'ala Shaanuhu tumhaare sab gunaah pehle aur pichle, puraane aur naye, galati se kiye huwe aur jaan boojh kar kiye huwe, chote aur bade, chup kar kiye huwe aur khullam khula kiye huwe, sab hi mu'aaf farma denge. Wo kaam ye he ke :

4 rak'at nafl (Salaat-ut-Tasbeeh ki niyat baandh kar) padho, aur har rak'at men jab Sura-e-Alhamd aur Surat padh lo, to rukoo se pehle [سبحان اللہ و الحمد للہ و لا إله إلا اللہ واللہ اکبر] _[SubhanAllahi Wal Hamdu Lillahi Wa Laa Ilaaha Illallahu Wallahu Akbar]_ 15 martaba padho, phir jab rukoo karo to 10 martaba usmen padho, jab rukoo se khade ho to 10 martaba padho, phir sajde karo to 10 martaba usmen padho, phir sajde se uth kar betho to 10 martaba padho, phir jab dusre sajde men jaao to 10 martaba usmen padho, phir jab dusre sajde se utho to (dusri rak'at) men khade hone se pehle beth kar 10 martaba padho. In sab ki meezaan 75 huwi. Iss tarah har rak'at men 75 dafa hoga. Agar mumkin ho sake to rozaana ek martaba iss namaaz ko padh liya karo, ye na ho sake to har Jumu'ah ko ek martaba padh liya karo, ye bhi na ho sake to har maheene men ek martaba padh liya karo, ye bhi na ho sake to har saal men ek martaba padh liya karo, ye bhi na ho sake to umr bhar men ek martaba to padh hi liya karo.

*🌹Ulamaa-e-Ummat Ke Nazdeek Ahmiyat :* "Salaat-ut-Tasbeeh" badi aham namaaz he, jiska andaaza mukhtalif ahaadees se ho sakta he, ke Huzoor-e-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis qadar shafqat aur aehtemaam se isko ta'aleem farmaaya. Ulamaa-e-Ummat, muhaddiseen, fuqahaa, soofiya har zamaane men iska aehtemaam farmaate rehte hen.

*1-* Imaam-e-hadees Haakim Rahimahullah ne likha he ke : Iss hadees ke saheeh hone par ye bhi daleel he ke taba-e-taabaeen ke zamaane se hamaare zamaane tak muqtadaa hazraat iss par mudaawimat karte aur logon ko ta'aleem dete rahe hen, jin men Abdullah Bin Mubaarak Rahimahullah bhi hen. Abdullah Bin Mubaarak Rahimahullah Imam Bukhaari ke ustaadon ke ustaad hen.

*2-* Baihaqi Rahimahullah kehte hen ke : Ibne Mubaarak Rahimahullah se pehle Abu Jauzaa, jo mo'tamid taaba'ee hen, iska aehtemaam kiya karte the. Rozaana jab Zohor ki azaan hoti to masjid men jaate, aur jama'at ke waqt tak isko padh liya karte the.

*3-* Abdul Azeez Bin Abi Rawwaad Rahimahullah, jo Ibne Mubaarak Rahimahullah ke bhi ustaad hen, bade aabid, muttaqi logon men hen. Kehte hen ke : Jo jannat ka iraada kare, usko zaroori he ke Salaat-ut-Tasbeeh ko mazboot pakde.

*4-* Abu Usman Hiyari Rahimahullah, jo bade zaahid hen, kehte hen ke : Mene museebaton aur ghamon ke izaale ke liye Salaat-ut-Tasbeeh jaesi koi cheez nahi dekhi.

*5-* Allama Taqi Subuki Rahimahullah farmaate hen ke : Ye namaaz badi aham he. Ba'az logon ke inkaar ki wajah se dhoke men na padna chaahiye. Jo shakhs iss namaaz ke sawaab ko sunkar bhi ghaflat kare, wo deen ke baare men susti karne waala he, sulahaa ke kaamon se door he, usko pakka aadmi na samajhna chaahiye.

Mirqaat men likha he ke : Hazrat Abdullah Bin Abbas Razi Allahu Anhu har Jumu'ah ko padha karte the.

*Note :* Ba'az ulamaa ne iss wajah se iss hadees ka inkaar kiya he ke itna zyaada sawaab sirf 4 rak'at par mushkil he, bil-khusoos kabeera gunaahon ka muaaf hona, lekin jab riwaayat bohot se Sahaaba-e-Kiraam Razi Allahu Anhum se manqool he to inkaar mushkil he; Albatta dusri aayaat aur ahaadees ki wajah se kabeera gunaahon ki muaafi ke liye tauba ki shart hogi.

*♦Salaat-ut-Tasbeeh Ke Do Tareeqe :* Ahaadees men iss namaaz ke do tareeqe bataaye gaye hen :

*📌Pehla Tareeqa :* Khade ho kar Al-Hamdu Shareef aur soorat ke ba'ad 15 martaba chaaron kalime [سبحان اللہ و الحمد للہ لا  إله إلا اللہ و اللہ اکبر] _[SubhanAllahi Wal Hamdu Lillahi Wa Laa Ilaaha Illallahu Wallahu Akbar]_ padhe, phir rukoo men [سبحان ربی العظيم] _[Subhaana Rabbiyal Azeem]_ ke ba'ad 10 martaba padhe, phir rukoo se khade ho kar [سمع اللہ لمن حمدہ، ربنا لک الحمد] _[Sami'Allahu Liman Hamidah, Rabbana Lakal Hamd]_ ke ba'ad 10 martaba padhe, phir dono sajde men [سبحان ربی الاعلی] _[Subhaana Rabbiyal Aa'laa]_ ke ba'ad 10 martaba padhe, aur dono ke darmiyaan jab bethe 10 martaba padhe, aur jab dusre sajde se uthe to Allahu Akbar kehta huwa uthe aur bajaaye khade hone ke beth jaaye, aur 10 martaba padh kar bager Allahu Akbar ke kehne ke khada hojaaye, aur do rak'at ke ba'ad, isi tarah chauthi rak'at ke ba'ad pehle in kalimon ko 10-10 martaba padhe, phir Attahiyaat padhe.

*📌Dusra Tareeqa :* Subhaanakallahumma ke ba'ad Alhamdu se pehle 15 martaba padhe, aur phir Alhamdu aur soorat ke ba'ad 10 martaba padhe, aur phir Alhamdu aur soorat ke ba'ad 10 martaba padhe, aur baaqi sab tareeq badastoor; Albatta iss soorat men na to dusre sajde ke ba'ad bethne ki zaroorat he aur na Attahiyaat ke saath padhne ki.

Ulamaa ne likha he ke : Behtar ye he ke kabhi iss tarah padh liya kare kabhi uss tarah.

*♦Chand Aham Fiqhi Masaail :* Ye namaaz aam taur se raaij nahi he, isliye iske mutalliq chand masaail bhi likhe jaate hen, taake padhne waalon ko sahulat ho :

*💠1-* Iss namaaz ke liye koi surat Qura'an ki muta'ayyan nahi. Jonsi soorat dil chaahe padhe, lekin ba'az ulamaa ne likha he ke : Sura-e-Hadeed, Sura-e-Hashar, Sura-e-Saff, Sura-e-Jumu'ah, Sura-e-Tagaabun men se 4 sooraten padhe. Ba'az hadeeson men 20 aayaton ki baqade aaya he, isliye aesi sooraten padhe jo 20 aayaton ke qareeb qareeb hon. Ba'az ne 'Izaa Zulzilat, Wal-Aadiyaat, Takaasur, Wal-Asr, Kaafiroon, Nasr, Ikhlaas likha he, ke in men se koi padh liya kare.

*💠2-* In tasbeehon ko zubaan se hargiz na gine, ke zubaan se ginne se namaaz toot jaayegi, ungliyon ko band karke ginna aur tasbeeh haath men le kar uspar ginna jaaiz he, magar makrooh he. Behtar ye he ke ungliyaan jis tarah apni jagah par rakhi hen waesi hi rahen aur har kalime par ek ungli ko usi jagah dabaata rahe.

*💠3-* Agar kisi jagah tasbeeh padhna bhool jaaye to dusre rukn men usko poora karle; Albatta bhoole huwe ki qaza rukoo se uth kar aur do sajdon ke darmiyaan na kare, isi tarah pehli aur teesri rak'at ke ba'ad agar bethe to unmen bhi bhoole huwe ki qaza na kare, balke sirf unki hi tasbeeh padhe aur unke ba'ad jo rukn ho usmen bhooli huwi bhi padh le. Masalan : Agar rukoo men padhna bhool gaya to unko pehle sajde men padh le, isi tarah pehle sajde ki dusre sajde men aur dusre sajde ki dusri rak'at men khada ho kar padhle, aur agar reh jaaye to aakhri qaade men Attahiyaat se pehle padh le.

*💠4-* Agar sajda-e-sahw kisi wajah se pesh aajaaye to usmen tasbeeh nahi padhni chaahiye, isliye ke miqdaar 300 he, wo poori ho chuki. Haan! Agar kisi wajah se iss miqdaar men kami rahi to sajda-e-sahw men padh le.

*💠5-* Ba'az ahaadees men aaya he ke Attahiyaat ke ba'ad salaam se pehle ye dua padhe :

*[[اَللّٰهُمَّ إِنِّيْ أَسْئَلُكَ تَوْفِیْقَ أَهْلِ الهُدٰی، وَأَعْمَالَ أَهْلِ الیَقِیْنِ، وَمُنَاصَحَةَ أَهْلِ التَّوْبَةِ، وَعَزْمَ أَهْلِ الصَّبْرِ، وَجِدَّ أَهْلِ الخَشْیَةِ، وَطَلَبَ أَهْلِ الرَّغْبَةِ، وَتَعَبُّدَ أَهْلِ الوَرْعِ، وَعِرْفَانَ أَهْلَ العِلْمِ حَتّٰی أَخَافَكَ. اَللّٰهُمَّ إِنِّيْ أَسْئَلُكَ مَخَافَةً تَحْجُزُنِيْ بِهَا عَنْ مَّعَاصِیْكَ، وَحَتّٰی أَعْمَلَ بِطَاعَتِكَ عَمَلًا أَسْتَحِقُّ بِهٖ رِضَاكَ، وَ حَتّٰی أُنَاصِحَكَ فِيْ التَّوْبَةِ خَوْفًا مِّنْكَ، وَحتّٰی أُخْلِصَ لَكَ النَّصِیْحَة حُبًّا لَّكَ، وَحَتّٰی أَتَوَکَّلَ عَلَیْكَ فِي الأُمُوْر ِحُسْنَ الظَّنِّ بِكَ، سُبْحَانَ خَالِقِ النُّوْرِ. رَبَّنَا أَتْمِمْ لَنَا نُورَنَا وَاغفِرْلَنَا إِنَّكَ عَلیٰ کُلِّ شَيْئٍ قَدْیِرٌ بِرَحْمَتِكَ یَا أَرْحَمَ الرَّاحِمِیْنَ]]*

*Tarjama :* Aye Allah! Me aapse hidaayat waalon ki si taufeeq maangta hun, aur yaqeen waalon ke amal aur tauba waalon ka khuloos maangta hun, aur saabireen ki pukhtagi aur aapse darne waalon ki si koshish (ya aehtiyaat) maangta hun, aur raghbat waalon ki si talab aur parhezgaaron ki si ibaadat aur ulamaa ki si ma'rifat; taake me aapse darne lagun. Aye Allah! Aesa dar ho mujhe aapki naafarmaani se rok de aur taake me aapki itaa'at se aese amal karne lagun jinki wajah se aapki raza-o-khushnoodi ka mustahiq ban jaaun, aur taake khuloos ki tauba aapke dar se karne lagun, aur taake sachcha ikhlaas aapki muhabbat ki wajah se karne lagun, aur taake aapke saath husn-e-zan ki wajah se aap par tawakkul karne lagun. Aye Noor Ke Paeda Karne Waale! Teri zaat paak he. Aye Hamaare Rabb! Hamen kaamil noor ataa farma. Aye Arham-a-Raahimeen! Apni rehmat se darkhwaast qubool farma!

*💠6-* Iss namaaz ko auqaat-e-makrooha ke alaawa baaqi din raat ke tamaam auqaat men padhna jaaiz he; Albatta zawaal ke ba'ad padhna zyaada behtar he, phir din men kisi waqt, phir raat ko.

*💠7-* Ba'az hadeeson men suwam kalime ke saath [لا حول ولا قوۃ الا باللہ العلی العظيم] _[Laa Haula Walaa Quwwata Illa Billah-Il-Aliyy-Il-Azeem]_ ko bhi zikr kiya gaya he. Isliye kabhi kabhi isko badha le to accha he.

*📜Taalib-e-Dua : Hazrat Mufti Huzaifa Sahab Palanpuri (db)*

FIQHI MASAIL
Official channel for masail
By Mufti Huzaifa Palanpuri db
https://t.me/MasailByMuftiHuzaifaPalanpuri

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.