••═༻Quran Ka Tarjuma༺═••
┌┅┄┅✽•••❀❀❀•••✽┅┄┅┐
✽••Post No➛ 10••✽
└┅┄┅✽•••❀❀❀•••✽┅┄┅┘
❀ Para No-30 ❀
❍╍╍❨Surah Naziaat❩╍╍❍
✦⇝ Is Surah Me 46 Ayat Hai,
※⇝27 se 36 Ayat is Post Me Hain.
★⇝❥ SHURU KARTA HUN ALLAH KE NAAM SE JO BADE MEHARBAN,NIHAYAT REHAM WALE HAIN.,_
❷❼➻ Bhala Tumhara 「Dusri Baar」 Paida Karna 「Apne Aap Me」 Jyadah Sakht Hai Ya Aasman Ka? Allah Ta'ala Ne Usko Banaya,
❷❽➻ 「Is Tarah Se Ki」Uske Chat Ko Buland Kiya Aur Usko Durust Banaya 「Ki Kahin Usme Nuks Aur Darar Nahi」,
❷❾➻ Aur Uski Raat Ko Andheri Banaya Aur Uske Din Ko Zahir Banaya,
❸⓿➻ Aur Uske Baad Zameen Ko Bichaya,
❸❶➻「Aur Bichakar」 Usse Uska Paani Aur Charaa Nikala,
❸❷➻ Aur Pahadon Ko 「Uspar」 Qayam Kar Diya,
❸❸➻ Tumhare Aur Tumhare Maweshion Ko Faidah Pahunchane Ke Liye,
❸❹➻ So Jab Wo Bada Hangama Aayega,
❸❺➻ Yaani Jis Din Insan Apne Kiye Ko Yaad Karega,
❸❻➻ Aur Dekhne Walon Ke Samne Dozakh Zahir ki Jayegi,
🗂 Tafseer Ibne Kaseer Jild 6,Safa 573 & 574. {sirf Tarjuma Likha Jaa Raha}
🔖 Note 🔖
⇊⇊⇊⇊
Maweshion= Janwar,, Bada Hangama=Qayamat Ka Din,, Qayam kar Diya=Khada kar Diya,, Dozakh=Jahanum.
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
→ Reα∂ αɳd ғσʀɯαʀd
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.