⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
*⚄ AMAAL - E - JUMAA ⚄*
*PLS READ FULL MSG*
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
*⊙ Juma Ke Din khoob Dhyan se Khutba. Suniye, 10 Din ke. Gunaah Maaf,*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
★ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo sakhsh achchhi tarah Vazu karta he fir Juma ki namaz ke liye aata he,
khoob dhyan se khutba sunta he. aur khutbe ke dauran Khamosh rehta he,
To is Juma se guzishta Juma tak aur mazeed 3 din ke gunaah maaf kar diye jate hai'n,
Aur jis shakhs ne kankriyo ko haath lagaya yani daurane khutba unse khelta raha ( ya chatai, kapda vagera se khelta raha ) to usne fizool kaam kiya,
*📓 Muslim, 1/ 283*
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
*⊙ Juma ke Din Fajar ki Namaz se Pehle ye Dua Padhiye, Saare Gunaah Maaf,*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
★ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs juma ke din Fajar ki namaz se pehle 3 martaba
Astagfirullahallazi laa ilaaha illa huval hayyul qayyoom wa atubu ilayhi
padhe to Allah ta’aala uske Gunaaho ki magfirat farma denge chahe uske Gunaah samundar ke jhaag ke barabar ho’n,”
*📓 Ravaah ibnul Sunni kazafi amal al Yaum, 83*
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
*⊙ Jume. Ke. Din Fajar. Ki. Namaz. Ba 'jama'at. Padhiye. Gunaah Maaf,*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
★ Hazrat Abu Ubeda Raziyallahu Anhu. se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Juma ke din Fajar ki namaz ba-Jama'at padhne se koi namaz afzal nahi. he,
Aur mera gumaan ye he k. Jo Aadmi Fajar ki namaz ba-Jama'at padhega uski zarur ba zarur magfirat kar di ja'egi,"
*📓 Kanzul Ummaal,, 7/369*
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
*⊙ JUMA ki Namaz se faarig hokar, '"Subhanallahil Azeemi wa bihamdihi, " 100 martaba Kaha karo, Aapke Ek Laakh. Aur Walden ke 24 Hazaar Gunaah Maaf,*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
★ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne Juma ki namaz se faarig hokar
*Subhanallahil azeemi va bihamdihi*
100 martaba padha to Allah ta’aala uske ek lakh Gunaah maaf farma denge
aur uske walden ke 24 hazaar gunaah maaf farma denge,
*📓 Ravaah ibnul Sunni Fi Amal al Yaum, 164*
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
*⊙ Juma ke Din Surah Kahaf Padhiye, Gunaah Maaf,*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
★ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Jo shakhs Juma ke din Surah Kahaf ki Tilawat karega uske qadam se lekar Aasmaan ki bulandi tak noor ho ja’ega Jo Qayamat ke din Roshni dega,
aur guzishta Juma se is juma tak ke uske sab Gunaah maaf ho ja’enge,( sagira gunaah muraad he ) ”
*📓 Kanzul Ummaal, 1/576*
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
*⊙ Jume ki Raat me Surah Yaseen padhiye, Gunaah Maaf,*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
★ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Shabe Juma me Surah Yaseen padhi uski magfirat kar di ja’egi,”
*📓Targeeb, 1/514*
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
*⊙ Jume ki Namaz ke baad Surah Fatiha, Surah. ikhlaas , Surah Mauzateen 7-7 Martaba Padhiye , Saare Gunaah Maaf,*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Juma ki namaz ke baad
Qul huvallahu Ahad,
Qul A’uzu birabbil Falaq,
Qul A’uzu birabbin Naas,
Saat saat martaba padhe to Allah Rabbul izzat Aa’inda juma tak burayi se panaah me rakhenge, ”
( Maasi ke irtkaab se badhkar Aadmi ke liye konsi burayi ho sakti he )
*📓 Ibne Sunni Fi Amalal Yaum val Laylah, 1/145*
★ Aur Qaseeri ki rivayat me alfaaze hadees is tarah he’n –
” Jo shakhs Juma ke din imaam ke Salaam ferne ke baad usi haalat me Bethe hue
• Surah Fatiha,
• Qul huvallahu Ahad,
• Qul A’uzu birabbil Falaq,
• Qul A’uzu birabbin Naas,
Saat saat martbaba Padhe to uske agle pichhle gunaaho ki magfirat kar di ja’egi,
⇨ Aur jitne log Allah aur Qayamat ke din per imaan rakhte he’n unke adad ke ba-qadr usko ajr ataa kiya ja’ega,
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
*⊙Juma Ke Din Asr Ki Namaz Ke baad 80 Martaba Darood Padhiye ,80 Saal Ke Gunaah Maaf,*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
★, Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Marvi hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad Farmaya :-
"__Jo Shakhs Juma ke Din Assi ( 80) Martaba mujh per Darood bheje Uske Assi ( 80) Saal Ke gunaah maaf Kar diye Jayenge _"
Arz Kiya gaya :- Ya Rasulallah ! Aap per kese Darood padha jaye ?
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Yu'n Kaho
*Allahumma Salli Alaa Muhammadin Abdika Wa Nabiyyika Wa Rasoolikan Nabiyyil Ummiyyi ,*
*📓 Ravaah Addaare Qutni ,*
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
*⊙ Jisne Juma Ke Din Apne Walden Ya unme SE kisi Kï Ziyaarat ki uske Gunaah Maaf,*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
★ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Juma ke din apne Walden ya unme se kisi ek ki qabr ki ziyarat kare to uski magfirat kar di ja’egi, aur usko farmabardar likha jaa’ega, ”
*📓 Kanzul Ummaal, 17/468*
⚜💙⚜💛⚜❤⚜💜⚜💚
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.