TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Friday, June 15, 2018

Eid Ki Raat Ki Fazeelat (Layla-tul-Jaaiza)

*🎉Eid Ki Raat Ki Fazeelat (Layla-tul-Jaaiza)🎉*

💖Eid ka din jahaan khushi-o-musarrat ke izhaar aur mail milaap ka din hota hai, wahaan Eid ki raat me ki jaane wali ibaadat ki fazeelat aam dino me ki jaane waali ibaadat se kaee gunaa badh kar hai.

*1-* Hazrat Abu Umama Razi Allahu Anhu se marwi hai ke Huzoor-e-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam he farmaaya : "Jo shakhs Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ki raaton me ibaadat ki niyat se qiyaam karta hai, uska dil us din bhi faut nahi hoga jis din tamaam dil faut ho jaayenge. [Ibne Maaja, As-Sunan, Kitaab-us-Siyaam] 

*2-* Hazrat Mu'aaz Bin Jabal Razi Allahu Anhu se marwi hai Huzoor-e-Akram Sallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya : "Jo shakhs paanch raatein ibaadat kare uske liye jannat waajib ho jaati hai. Wo raatein yeh hen : 8 Zil-Hijja, 9 Zil-Hijja,
10 Zil-Hijja (ya'ani Eid-ul-Azha) Eid-Ul-Fitr aur 15th Sha'baan ki raat (ya'ani Shab-e-Baraat) [Munziri, At-Targheeb Wat-Tarheeb : 1/182] 

*Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya :* Jo shakhs eidain ki raaton ko sawaab ki niyat se jaag kar ibaadat kare uska dil us din murda nahi hoga jis din logon ke dil murda ho jaayenge. [At-Targeeb] 

*🌟Eid Ke Din Ke Aamaal🌟*

*1-* Eid ke din subah sawere uthna. [Aalamgiriyya : 1/149, Rashidiya] 

*2-* Namaaz-e-Fajr apne mohalle ki masjid mein padhna. [Radd-Ul-Mukhtaar : 3/56, Daar-Ul-Ma'arifa] 

*3-* Jism ke zaaid baal aur naakhun wagaira kaatna. [Halbi Kabeer Safah 566, Suhel Academy] 

*4-* Gusl karna

*5-* Miswaak karna. (Yeh us miswaak karne ke alaawa hai jo wuzu men ki jaati hai, nez miswaak karna khawateen ke liye bhi masnoon hai.)

*6-* Jo kapde paas ho unmen se achche umdah kapde pehenna, naye ho to naye pehen liye jaaye, warna dhule huwe pehne jaaye.

*7-* Khushboo lagana (lekin khawateen tez khushboo na lagaaye.) [Halbi Kabeer Safah 566, Suhel Academy] 

*8-* Angothi pehenna. (Mardon ke liye zyaada se zyaada saadhe chaar maasha chaandi ki angothi pehenna jaaiz hai) wo sirf ek nageena ki (usse zyada ya kisi aur dhaat ki anghoti pehenna jaaiz nahin.) [Radd-ul-Mukhtar : 3/56, Daar-Ul-Ma'arifa] 

*9-* Agar sadqa-e-fitr abhi tak adaa na kiya ho to Eid ki namaaz se pehle ada karna. [Fat'h-Ul-Qadeer : 2/70] 

*10-* Eid gaah ki taraf jaldi jaana. [Aalamgiriyya : 1/149, Rashidiya] 

*11-* Paidal chal kar Eid gaah jaana, Albatta agar koi uzr ho to sawari par jaane me muzaaiqa nahi. [Imdaad-Ul-Ahkaam : 1/733] 

*12-* Namaz-e-Eid, eid gaah me ada karna; Albatta agar koi uzr ho (masalan : baarish ho, dushman ka khauf ho ya eid gaah me imaan sahih ul aqaaid na ho) toh masjid-e-maholla me hi Namaaz-e-Eid adaa kar li jaaye. 

*13-* Eid gaah ki taraf jaate huwe aahista aawaaz me takbeerat -e- tashreeq kehte huwe jaana aur eid gaah me pohonch kar takbeerat band kar dena. Takbeerat-e-tashreeq yeh hai : 

*💎["اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ و اللہ اکبر اللہ اکبر و للہ الحمد"]*

_[[Allahu Akbar Allahu Akbar, Laa Ilaaha Illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walil-laahil Hamd]]_

*14-* Eid-ul-Fitr ki namaaz ke liye jaane se pehle kuch khaa lena, agar koi mithi cheez ho (khajoor, chuwaare ya koi aur cheez) to taaq adad me khana behtar hai, aur agar mithi cheez na ho to koi bhi cheez kha li jaye. [Fat'h-ul-Qadeer : 2/69] 

*15-* Namaz-e-Eid adaa karne ke baad waapsi par raasta badal kar aana. [Mirqaah : 3/290, Rashidiya] 

*16-* Har kisi se khush akhlaaqi se pesh aana, bashaashat ka izhaar karna aur gaiz-o-gazab se parhaiz karna. [Radd-ul-Mukhtar : 3/56, Daar-Ul-Ma'arifa] 

*17-* Apni haisiyat ke mutaabiq mustahiqeen-o-masaakeen ki madad karna. [Radd-Ul-Mukhtaar : 3/56, Daar-Ul-Ma'arifa] 

*18-* Apni haisiyat ke mutaabiq apne ghar waalon par khaane wagaira ke aetebaar se kushaadgi karna.

*19-* Agar mumkin ho to eid ke din jubba pehenna. [Maraqi-Ul-Falah : 289] 

*20-* Ek dusre ko mubaarak baad dena (Ba shart ye ke usko laazim na samjhaa jaae) [Raddul Mukhtar : 3/56, Daar-Ul-Ma'arifa, Umda-tul-Fiqa : 2/259,260]

*✍Hazrat Mufti Huzaifa Sahab Palanpuri (db)🎓*
------------------------------------------------------------

*🎉Virtues Of Layla-tul-Jaaiza (The Night Of Eid)🎉*

💖Just like Eid is a day of pleasure, happiness and togetherness, the virtue for the worship done in its night is much greater than those done in ordinary nights.

*1-* Hazrat Abu Umama Razi Allahu Anhu narrates that Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said : Whoever stand up(in worship) in the nights preceding the two eids expecting reward from his Sustainer, his heart will not die on that day when other hearts will die. [Ibne Maaja, As-Sunan, Kitab-us-Siyaam] 

*2-* Hazrat Mu'aaz Bin Jabal Razi Allahu Anhu narrates that Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said : 
Jannah becomes wajib on the one who worships on the five nights. Those nights are : 8th Dhul-Hijja, 9th Dhul-Hijja i.e Eid-Ul-Adha, 10th Dhul-Hijja, Eid-Ul-Fitr, 15th Sha'ban i.e. Laylat-ul-Bara'ah. [Munziri, At-Targheeb Wat-Tarheeb : 1/182] 

*Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam Said :* The one who stays awake and worships in the nights of two Eids with the intention of reward, his heart will not die the day when all hearts will die.
[At-Targheeb] 

*🌟Acts To Be Performed On The Day Of Eid🌟*

*1-* To wake up early on Eid. [Alamgiriyya : 1/149, Rashidiya] 

*2-* To offer the Fajr salah in the masjid of one's neighbourhood. [Radd-ul-Mukhtar : 3/54, Daar-Ul-Ma'arifa] 

*3-* One should remove the extra hair on their body and clip their nails. [Halbi Kabeer, Page 566, Suhel Academy] 

*4-* To perform ghusl (bathe).

*5-* To use miswaak (one should perform this act apart from performing it during wudhu, this is a sunnah for women too)

*6-* To adorn oneself with the best clothes that one has in their possessions. If one has new clothes, then they should wear them or else one should wear clean and washed clothes.

*7-* To wear perfume(Women should not apply strong fragrance). [Halbi Kabeer, Page 566, Suhel Academy] 

*8-* To put on a ring. (It is permissible for men to wear a ring of 4.5 maash at the most), also there should be only one stone in it. (Putting on ring of more than that or of any other metal is impermissible) [Radd-Ul-Mukhtar : 3/56, Daar-Ul-Ma'arifa] 

*9-* If one has not yet offered Sadqa-tul-Fitr, then they should offer it before the Eid prayer. [Fat'h-Ul-Qadeer : 2/70, Dar-Ul-Kutub-Ul-Ilmiyya] 

*10-* One should hasten towards the eid gaah (place where the eid prayer is to be offered.) [Alamgiriyya : 1/149, Rashidiya] 

*11-* To go walking towards the eid gaah. However, there is no issue if someone uses transportation due to some excuse.

*12-* To offer the Eid prayer in the eid gaah. However, if there is some valid reason (for eg : it is raining, one has a fear of his enemy or the imam of the eid gaah has incorrect beliefs) then one can offer eid prayer in the masjid of one's neighbourhood. [Imdad-Ul-Ahkaam : 1/733] 

*13-* To recite takbeerat-e-tashreeq in a low voice while proceeding towards the eid gaah and stopping the recitation once one reaches there. Takbeeraat-e-Tashreeq is :

*💎["اللہ اکبر اللہ اکبر لا اله الا الله والله اكبر الله اكبر و لله الحمد"]*

_[[Allahu Akbar Allahu Akbar, Laa Ilaaha Illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walil-laahil Hamd]]_

*14-* To eat something before going for the Eid prayer. It is better to have sweet things (such as dates, etc) in the odd amount (i.e 1, 3, 5...) if it's available, or else one should eat some other thing before going. [Fat'h-Ul-Qadeer : 2/69, Dar-Ul-Kutub-Ul-Ilmiyya] 

*15-* To take a different route while returning from eid gaah after offering the Eid prayer. [Mirqaah : 3/290, Rashidiya] 

*16-* To behave in a good manner with everyone, to show pleasure and avoid anger. [Radd-Ul-Mukhtaar : 3/56, Daar-Ul-Ma'arifa] 

*17-* To help the poor and needy according to one's capability. [Radd-ul-Mukhtaar : 3/56, Daar-Ul-Ma'arifa] 

*18-* To spend on one's family in the form of food etc. according to one's capability. 

*19-* To wear a jubbah on the day of Eid if possible. 

*20-* To wish each other (provided that it is not considered as an obligation) [Radd-ul-Mukhtaar : 3/56, Daar-Ul-Ma'arifa, Umda-tul-Fiqah : 2/259, 260]

*✍Hazrat Mufti Huzaifa Sahab Palanpuri (db)🎓*

FIQHI MASAIL
Official channel for masail
By Mufti Huzaifa Palanpuri db
https://t.me/MasailByMuftiHuzaifaPalanpuri

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.