⭕AAJ KA SAWAL NO.1353⭕
*Rozah kin chizon se faasid ho jata hai?*
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Wo Chizen Jinse Rozah Faasid Ho jata hai woh niche likhi gayi hain
1- Kaan aur Naak me dawa dalna.
2- Qasdan (Jaanbujh kar) moonh bharkar qai-vomit karna ya moonh bharkar aane ke baad kuchh hissah qasadan (jaanbujh kar) lauta Lena.
3- Kulli karte huve halaq me paani ka chalaa Jana,(us waqt Roza bhi yaad ho)
4- Aurat ko chhoone aur bosah lene se inzaal ho Jana-mani nikal jana.
5- Lobaan ya agarbatti ka dhunwa qasadan naak ya halaq me pahunchana
6- Bidi, cigarette ,huqqah pina
7- Bhool kar khaa pee liya aur khayal kiya k isse Roza toot gaya hoga, fir qasadan kha, pee liya
8- Raat samajhkar subah sadiq ke baad Sahri kha Lena,
9- Din Baaqi tha magar galaty se yeh samajha k Aaftaab guroob ho gaya hai, iftaar kar liya-kisi taqweem ya app me dekhkar waqt hote hi iftar kar liya baad me pata chala ghadi aage thi aur suraj guroob hone me 2 minutes baaqi thi.(akabireen ke mamool ke khilaf is se bilkul time par iftar karne ki baat karnewale ibrat le)
10 - Koi aisi cheez nigal Jana Jo Aadtan khayi nahi jati, Jaise ke lakdi, loha, kachcha gehu ka daana vagera
11- Baaf (steam, bhaanp) lena,
*PART 2*ISE KAL
12- Mushtzani (haath se mani nikalna)
13- damah (asthma) ke mareez ka inhellar pump isteamal karna.
14- munh me paan-gutkha daba kar so jana yahaan tak ke subah sadiq ho jaye.
15- naksir fute aur naak ka khun halaq me chala jaye.
16- dant-masoodon ka khun agar itna ziyadah ho ke woh thuk par gaalib aa jaaye ya'ani thuk ko laal kar de ya thuk ke baraabar-saraabar ho jaye aur woh thuk pet me chala jaye agar thuk me khun kam ho ya'ani khun ka mazah halaq me ma'alum na ho to rozah fasid na hoga
17- enema lena ya'ani pet ki safai ke liye pichhe ke raste se dawai charhaana
18- mard ki peshab ki nali me koi dawai dali jaye aur woh masaane tak pahonch jaye. Agar masane tak na pahonche to rozah faasid nahi hoga
19- aurat ka apni sharmgah me koi dawai dalna
20- aurat ki sharmgah me doctorni ka chekap ke liye bhigahuwa ya dawai wala haath ya mashin dalna agar haath ya machine par dawa na ho to rozah faasid na hoga
21- danton me gosht ka resha, supari wagairah ka tukda atka huwa tha aur use se munh se baahar nikale bagair zuban ya khila se nikalkar munh ke andar hi andar nigal liya ya khud bakhud halaq me chala gaya to dekhi agar woh cheez chane ki miqdar se ziyadah hai ya chane ke barabar hai to rozah faasid ho gaya agar chane se kam hai to fasid nahin huva agar munh se bahar nikala fir nigal gaya to har hal me rozah faasid hoga chahe chane ke baraabar ho ya us se bhi kam ho
Kitabul masail 2/ safa 85 se 91
masaile rozah safa 63,64
و اللہ اعلم
*रोज़ा तोड़ने वाली चीज़ें*
⭕आज का सवाल नंबर ११५३⭕
रोज़ा किन चीज़ों से फ़ासिद हो जाता है?
🔵जवाब🔵
वो चीज़े जिनसे रोज़ा फ़ासिद हो जाता है वह निचे लिखा गया हैं
१- कान और नाक में दवा डालना.
२- क़सदन (जान बूझकर) मुँह भरकर के-वोमिट करना या मुँह भरकर आने के बाद कुछ हिस्सा क़सदन-जानबूझकर लोटा लेना.
३- कुल्ली करते हुवे हलक़ में पानी का चला जाना,( उस वक़्त रोज़ा भी याद हो )
४- औरत को छूने और बोसा लेने से इंज़ाल हो जाना -मनि निकल जाना.
५- लोबान या अगरबत्ती का धुंवा क़सदन नाक या हलक़ में पहुँचाना
६- बीड़ी, सिगरेट, हुक़्क़ाह पीना
७- भूलकर खा पि लिया और ख्याल किया के इससे रोज़ा टूट गया होगा, फिर क़सदन खा,पी लिया
८- रात समझकर सुबह सादिक़ के बाद सहरी खा लेना,
९- दिन बाक़ी था मगर गलती से ये समझा के आफताब ग़ुरूब हो गया हे, इफ्तार कर लिया -किसी तक्वीम या एप्प में देखकर वक़्त होते ही इफ्तार कर लिया बाद में पता चला घडी आगे थी और सूरज ग़ुरूब होने में २ मिनट बाकी थी.(अक़ाबरीन के मामूल के खिलाफ इस से बिलकुल टाइम पर इफ्तार करने की बात करनेवाले इबरत ले)
१० - कोई ऐसी चीज़ निगल जाना जो आदतन खायी नहीं जाती, जैसे लकड़ी, लोहा, कच्चा गेहू का दाना वगेरा
११- बाफ-स्टीम-भांप लेना,
*(बाक़ी 12 से 21 कल इंशा अल्लाह)*
📗किताबुल मसाइल २/ सफा ८५ से ९१
📕मसाइले रोज़ा सफा ६३,६४
واللہ اعلم
✏मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन हनफ़ी गुफिर लहू
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा सूरत गुजरात इंडिया
📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.