🕌🕌 ❤﷽❤ 🕌🕌
✴ *_Juma Ke Din Ke Kuch Khaas Amal Jo Huzoor ﷺ Ka Farman se._*
Jo Shakhs Juma Ke Din Apne Walden Ya Unme Se Kisi Ek Ki Qabr Ki Ziyarat Kare To Uski Magfirat Kar Di Jayegi Aur Usko Farmabardar Likha Jayega.
*📓 Kanzul Ummaal, 17/468*
▦══──────────────────══▦
Jo Shakhs Juma Ke Din Surah Kahaf Ki Tilawat Karega Uske Qadam Se Lekar Aasmaan Ki Bulandi Tak Noor Ho Jayega Jo Qayamat Ke Din Roshni Dega,
Aur Guzishta Juma Se Is Juma Tak Ke Uske Sab Gunaah Maaf Ho Jayenge. ( Sagira Gunaah Muraad Hai )
*📓 Kanzul Ummaal, 1/576*
▦══──────────────────══▦
Juma Ke Din Gusl Karna Gunaho Ko Baalo Ki Jado Se Soont Kar Nikaal Deta Hai.
*📓 Kanzul Amaal- 7/ 754.*
▦══──────────────────══▦
Hazrat 「Maa」 Aaisha Razi Allahu Taala Anha Bayan Karti Hai Ke Rasulullah ﷺ Ke Pass Do Kapde The Jise Aap ﷺ Juma Ke Din Pehanate The Fir Jab Wapas Tashrif Laate To Usko Lapet Kar Rakh Dete The.
*📓 Al Mutalibul Aaliya / 746.*
▦══──────────────────══▦
Juma Ke Din Naakhun Kaatna Shifa Ka Baais Hai Aur Bimari Ko Dur Bhagaata Hai.
*📓 Kanzul Aammal /17258.*
▦══──────────────────══▦
Jis Ne Juma Ke Din Naakhun Kaatey
Wo Aaindah Jumma Tak Na'Gawaar Haalat Se Mahfuz Rakha Jaeyga.
*📓 Kanzul Aammal / 17241.*
▦══──────────────────══▦
” Jis Shakhs Ne Juma Ki Namaz Se Faarig Hokar
*Subhanallahil Azeemi Va Bihamdihi*
100 Martaba Padha To Allah Ta’Aala Uske Ek Lakh Gunaah Maaf Farma Denge
Aur Uske Walden Ke 24 Hazaar Gunaah Maaf Farma Denge,
*📓 Ravaah Ibnul Sunni Fi Amal Al Yaum, 164*
▦══──────────────────══▦
” Jo Shakhs Juma Ki Namaz Ke Baad
Qul Huvallahu Ahad,
Qul A’Uzu Birabbil Falaq,
Qul A’Uzu Birabbin Naas,
Saat Saat Martaba Padhe To Allah Rabbul Izzat Aa’Inda Juma Tak Burai Se Panaah Me Rakhenge, ”
*📓 Ibne Sunni Fi Amalal Yaum Val Laylah, 1/145*
▦══──────────────────══▦
*♻☛Azaan -E- Juma K Baad Duniyavi Kaam Chhor Dena*
╒▤⊰ *Quran Me Allah Ta'Ala Farmate Hai*
"Ay Imaan Walo ! Juma K Din Jumma K Liye Juma Ki Namaz Ke Liye Azaan Di Jaye , To Sab Ke Sab Allah Ki Taraf Dod Pado Or Kharid Wah Frokht Chhoe Do ! Yeh Tumhare Liye Behtar Hai, Agar Tum Jante Ho" !
*Reference-Surah Juma. {Para 28}*
Khulasa:-Juma Ki Azan Sunne Ke Baad Fauran Juma Ke Liye Taiyari Karna Aur Saare Dunyavi Kaam Kaaj Chhor Dena Zaruri Hai.
▦══──────────────────══▦
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.