🌀Masaail-e-Zakaat🌀
📚Az : Hazrat Mufti Yusuf Ludhyaanwi Sahab Rahimahullah
★Qist 1★
🌸((Zakaat Ke Mustahiqqeen))
♦Sawaal : Kin kin logon ko zakaat dena jaaiz he aur kin kin ko na jaaiz?
♦Question : To whom giving zakaah is permissible and impermissible?
🅰جواب : اپنے ماں باپ، اور اپنی اولاد کو زکوٰة دینا جائز نہیں، اسی طرح شوہر بیوی ایک دُوسرے کو زکوٰة نہیں دے سکتے، جو لوگ خود صاحبِ نصاب ہوں ان کو زکوٰة دینا جائز نہیں۔ آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم کے خاندان (ہاشمی حضرات) کو زکوٰة دینے کا حکم نہیں، بلکہ اگر وہ ضرورت مند ہوں تو ان کی مدد غیرِزکوٰة سے لازم ہے۔ اپنے بھائی، بہن، چچا، بھتیجے، ماموں، بھانجے کو زکوٰة دینا جائز ہے، مزید تفصیل خود پوچھئے یا کسی کتاب میں پڑھ لیجئے۔
🅰Jawaab : Apne maa, baap, aur apni aulaad ko zakaat dena jaaiz nahi, isi tarah shauhar biwi ek dusre ko zakaat nahi de sakte, jo log khud saahib-e-nisaab hon, unko zakaat dena jaaiz nahi. Aanhazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ke khandaan haashmi hazraat ko zakaat dene ka hukm nahi, balke agar wo zarurat mand hon to unki madad ghair zakaat se laazim hai. Apne bhai, behen, chacha, bhatije, maamu, bhaanje ko zakaat dena jaaiz hai. Mazeed tafseel khud puchiye ya kisi kitaab men padh lijiye.
🅰Answer : Giving zakaah to one's own parents or children is not permissible. Similarly, husband and wife cannot give alms to each other. Giving alms to people who are saahib-e-nisaab (owner of wealth) is also not permissible. Additionally, one cannot give alms to the descendants of Prophet Mohammed Sallallahu Alaihi Wasallam, but if they are in dire need then it's mandatory to help them with money that's not zakat. It's permissible to give zakat to one's brother, sister, maternal and paternal uncle, maternal and paternal nephews. For further details, kindly ask me or refer to any book.
♦Sawaal : Zakaat ki taqseem kin kin qaumon par haraam he? Jabke hamaare ilaaqe men sayyad, malik, a'waan aur lohaar, turkahaan, qureshi wagera ke liye zakaat haraam qaraar de kar band kardi gayi; Albatta sayyad hazraat ke liye to zakaat lena jaaiz nahi, deegar do qaumen jinmen quresh kehlaane waale turkahaan, lohaar aur a'waan, malik shaamil hen, zakaat ke haqdaar hen ya nahi? Baraaye karam iski bhi wazaahat farmaaen ke sayyad gharaane ke alaawa haajat mand log, masalan yateem, bewa, ma'azoor zakaat lene ke haqdaar hen ya nahi?
♦Question : Giving zakah to which all tribe is impermissible? Whereas in our neighborhood, it's impermissible to give zakah to Sayyad, Malik, A'waan, Lohaar, Turkahaan, Qureshi etc. However, it's not permissible for the sayyads to accept zakah, but what about the other tribes of Quresh like Turkahaan, Lohaar, A'waan and Malik--are they worthy of zakah of not? Kindly inform me also about whether the needy people--apart from the sayyads--like orphans, widow, disabled person etc. are worthy of zakah or not?
🅰جواب : زکوٰة، آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم کے خاندان کے لئے حلال نہیں، اور آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم کے خاندان سے مراد ہیں: آلِ علی، آلِ عقیل، آلِ جعفر، آلِ عباس اور آلِ حارث بن عبدالمطلب۔ پس جو شخص ان پانچ بزرگوں کی نسل سے ہو اس کو زکوٰة نہیں دی جاسکتی، اگر وہ غریب اور ضرورت مند ہو تو دُوسرے فنڈ سے ان کی خدمت کرنی چاہئے۔
🅰Jawaab : Zakaat Aanhazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ke khandaan ke liye halaal nahi, aur Aanhazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ke khandaan se muraad : Aal-e-Ali, Aal-e-Aqeel, Aal-e-Ja'far, Aal-e-Abbas, aur Aal-e-Haaris Bin Abdul Muttalib. Pas jo shakhs in paanch buzurgon ki nasal se ho usko zakaat nahi di jaasakti, agar wo ghareeb aur zaruratmand ho to dusre fund se unki khidmat karni chaahiye.
🅰Answer : Giving zakaah to the descendants of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam is not valid. And descendants of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam refers to : family of Ali, family of Aqeel, family of Jafar, family of Abbas and family of Harith bin Abdul Muttalib. Only people who are the descendants of the above five lineages cannot be given zakat. If they are needy, then they should be helped from some other non-zakat fundings.
🌸((Sayyad Aur Haashmiyon Ki I'aanat Gair-e-Zakaat Se Ki Jaaye))
♦Sawaal : Islam deen-e-masaawaat hai aur deen-e-adl-o-hikmat hai. Islam ghair musalmanon se jizya wusool karta hai toh unhe apne zer-e-saaya tahaffuz faraaham karta hai. Islam zakaat dene ka hukm deta hai aur hukm aur hukm deta hai ki unhe ummat (hashmi ke alaawa) ke ghareebon, miskeeno, yateemo aur bewaaon par kharch kiya jaaye. Yeh Islam ka ek hukm hai, jis par amal karna waajib hai. Lekin mera sawaal yeh hai ke hamara mazhab hashmi ummat ke ghareebon, bewaaon, yateemon, nadaaron, miskeeno aur mohtaajon, ghareeb taalib-e-ilmon ke liye kya maali tahaffuz faraaham karta hai?
♦Question : Islam is the religion of equality, justice and wisdom. Islam receives Jizyah from the non-muslims and in return offers protection to them. Islam commands to offer zakah and to spend it on the Ummah's (apart from the Hashmis) poor and needy people, orphans, widows etc. This is one of the commands of Islam, to act upon which is mandatory. But my question is whether our religion allows to spend money on the widows, orphans, poor students seeking ilm and poor and needy people of the Hashim tribe?
🅰جواب : ہاشمی، آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم کا خاندان ہے، آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنے لئے اور اپنے متعلقین کے لئے زکوٰة کو ممنوع قرار دیا ہے، یہ حضرات اگر ضرورت مند ہوں تو غیرزکوٰة فنڈ سے ان کی خدمت کرنی چاہئے، اور آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم کی قرابت کا لحاظ رکھتے ہوئے ان کی خدمت کرنا بڑے اجر کا موجب ہے۔
🅰Jawaab : Haashmi, Aanhazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ka khandaan hai. Aanhazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne liye aur apne muta'alliqeen ke liye zakaat ko mamnoo' qaraar diya hai, ye hazraat agar zaruratmand ho to ghair zakaat fund se inki khidmat karni chahiye, aur Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam ki qurabat ka lehaaz rakhte huwe unki khidmat karna bade ajar ka mujib hai.
🅰Answer : The Hashims are the descendants of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam. Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam has forbid one from giving alms to him, as well as to his family. If they are needy then they should be helped from some other non-zakaat fundings. Moreover, considering the relatives of Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam, helping his family members is considered to be amongst the greatest of rewards.
✍Taalib-e-Dua : Hazrat Mufti Huzaifa Sahab Palanpuri (db)🎓
FIQHI MASAIL
Official channel for masail
By Mufti Huzaifa Palanpuri db
https://t.me/MasailByMuftiHuzaifaPalanpuri
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.