TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Tuesday, May 15, 2018

Chaand Ka Ilm Na Hone Par Sha'baan Ki Teeswein Tareekh Ke Masaail



*🌟چاند کا علم نہ ہونے پر شعبان کی تیسویں تاریخ کے مسائل🌟*

*💫مسئلہ 1]* شعبان کی انتیسویں تاریخ کو اگر رمضان شریف کا چاند نکل آئے تو صبح کو روزہ رکھو اور اگر نہ نکلے یا آسماں پر بادل ہو اور چاند نہ دکھائی دے تو صبح کو جب تک یہ شبہ رہے کہ رمضان شروع ہوا یا نہیں روزہ نہ رکھو بلکہ شعبان کے تیس دن پورے کر کے رمضان کے روزے شروع کرو۔

*💫مسئلہ 2]* انتیسویں تاریخ بادل کی وجہ سے رمضان شریف کا چاند نظر نہ آئے تو صبح کو نفلی روزہ بھی نہ رکھو۔ ہاں اگر ایسا اتفاقاً ہوا کہ ہمیشہ پیر اور جمعرات یا کسی اور متعین دن کا روزہ رکھا کرتا تھا اور اس تاریخ کو وہی دن آیا تو صبح کو نفل کی نیت سے روزہ رکھ لینا بہتر ہے، پھر اگر کہیں سے چاند کی خبر آ گئی تو اسی نفل روزے سے رمضان کا فرض ادا ہو جائے گا، قضا رکھنےکی ضرورت نہیں۔

*💫مسئلہ 3]* بادل کی وجہ سے انتیس تاریخ کو رمضان کا چاند نظر نہیں آیا تو دوپہر سے ایک گھنٹہ پہلے تک کچھ کھانا پینا نہیں چاہیے۔ اگر کہیں سے خبر آ جائے تو اسی وقت روزہ کی نیت کر لی جائے اور اگر کوئی اطلاع نہ آئے تو کھانا پینا درست ہے۔

*💫مسئلہ 4]* انتیسویں تاریخ کو چاند نظر نہیں آیا تو یہ خیال نہ کیا جائے کہ جب کل کا دن رمضان کا نہیں ہے تو گزشتہ سال کا ایک روزہ قضا ہے اس کی قضا ہی رکھ لیں یا کوئی نذر مانی تھی اس کا روزہ رکھ لیں، کیونکہ اس دن قضا کا روزہ، کفارہ کا روزہ اور نذر کا روزہ رکھنا بھی مکروہ ہے، کوئی روزہ نہیں رکھنا چاہیے۔ اگر قضا یا نذر کا روزہ رکھ لیا پھر کہیں سے چاند کی خبر آ گئی تو بھی رمضان ہی کا روزہ ادا ہو گا قضا اور نذر کا روزہ دوبارہ رکھنا ہوگا۔ اور اگر خبر نہیں آئی تو جس روزہ کی نیت کی تھی وہی ادا ہو جائے گا۔

*✍حضرت مفتی حذیفہ صاحب پالنپوری🎓*
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -

*🌟Chaand Ka Ilm Na Hone Par Sha'baan Ki Teeswein Tareekh Ke Masaail🌟*

*💫Masla 1]* Sha'baan ki 29 tareekh ko agar Ramzaan Shareef ka chaand nikal aaye to subah ko roza rakho aur agar na nikle ya aasmaan par baadal ho aur chaand na dikhaayi de to subah ko jab tak ye shuba rahe ke Ramzaan shuru huwa ya nahi roza na rakho balke Sha'baan ke 30 din pure karke roze shuru karo. 

*💫Masla 2]* 29 tareekh ko baadal ki wajah se Ramzaan ka chaand nazar na aaye to subah ko nafli roza bhi na rakho. Haan! Agar aesa ittefaaqan huwa ke hamesha peer aur jumerat ya kisi aur muta'ayyan din ka roza rakha karta tha aur us tareekh ko wahi din aaya to subah ko nifl ki niyat se roza rakh lena behtar hai, phir agar kaheen se chaand ki khabar aagayi to usi nafl roze se Ramzaan ka farz adaa hojaayega, qaza rakhne ki zarurat nahi. 

*💫Masla 3]* Baadal ki wajah se 29 tareekh ko Ramzaan ka chaand nazar nahi aaya to dopaher se ek ghanta pehle tak kuch khaana peena nahi chaahiye. Agar kaheen se khabar aajaye to usi waqt roze ki niyat karli jaaye aur agar koi ittela na aaye to khaana peena durust hai. 

*💫Masla 4]* 29 tareekh ko chaand nazar nahi aaya to ye khayaal na kiya jaaye ke jab kal ka din Ramzaan ka nahi hai to guzishta saal ka ek roza qaza hai uski qaza hi rakh lein ya koi nazar maani thi uska roza rakh lein, kyunke us din qaza ka roza, kaffara ka roza aur nazar ka roza rakhna bhi makrooh hai, koi roza nahi rakhna chaahiye. Agar qaza ya nazar ka roza rakh liya phir kaheen se chaand ki khabar aagayi to bhi Ramzaan hi ka roza adaa hoga qaza aur nazar ka roza dobaara rakhna hoga. Aur agar khabar nahi aayi to jis roze ki niyat ki thi wahi adaa hojayega.

*✍Hazrat Mufti Huzaifa Sahab Palanpuri (db)🎓*

FIQHI MASAIL
Official channel for masail
By Mufti Huzaifa Palanpuri db
https://t.me/MasailByMuftiHuzaifaPalanpuri

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.