┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
۞ A I T K A A F ۞
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
⚄ PART↬09 ⚄
◉••◯••◉✧◉••◯••◉
Aitkaaf E Sunnat -2
•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
★ 4-Aakhri ashre ke chand din ka Aitkaaf Aitkaafe Nifl he Sunnat nahi,
★5- Aurto’n ko Masjid ki bajaye apne ghar me Aitkaaf karna chahiye,
★ 6- Sunnate Aitkaaf ki dil me itni niyat kaafi he k me Allah ki raza ke liye Ramzan ke aakhri ashre ka masnoon Aitkaaf karta hu’n,
★7- Kisi shakhs ko ujrat dekar Aitkaaf me bithana jaa’iz nahi,
★8- Masjid me ek se zyada log Aitkaaf kare to sabko sawab milta he,
★9- Masnoon Aitkaaf ki niyat 20 tareekh ke gurube aftaab se pehle kar leni chahiye, agar koi shakhs waqt per Masjid me dakhil ho gaya lekin usne Aitkaaf ki niyat nahi ki aur Suraj gurub ho gaya to fir niyat karne se Aitkaaf sunnat nahi hoga,
★10- Agar kisi ne pehle 2 ashro me Roze nahi rakhe ho ya taraveeh na padhi ho to wo bhi Aitkaaf kar sakta he,
★11- Jis shakhs ke badan se badbu aati ho ya esa marz ho jiski vajah se log tang ho to esa shakhs Aitkaaf me na bethe,
⇨Albatta agar badbu thodi ho Jo khushbu vagera se door ho jaye aur logo ko takleef na ho to jaa’iz he,
⚀•RєԲ:➻┐
Aitkaaf Course, 19
10 ,NEXT ,in sha Allah, ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.