🌷 *Jannat Part - 18* 🌷
JANNAT KE DARAWAZAH HAR PIR AUR JUME'ARAT ME KHOLE JATE HAI.
(Abu Dawood-4916)
JANNAT KE 8 DARAWAZAH HAI,
7 BANDH HAI,
EK TAUBA KE LIYE KHULA HUWA HAI, YAHAAN TAK KE SURAJ MAGRIB SE TULU’A HO.
(Tabrani)
JANNAT KE 8 AUR JAHANNAM KE 7 DARAWAZAH HAI.
BA'AZ ULAMA NE JANNAT KE 8 AUR JAHANNAM KE 7 DARAWAZAH SE YE ISTIDLAL FARMAYA HAI KE, CHUN KE ALLAH KI RAHMAT USKE GAZAB SE WASEE’A HAI, ISLIYE JANNAT KE DARAWAZAH JAHANNAM KE DARAWAZAH SE ZIYADA HAI,
KYUN KE JANNAT ALLAH KI RAHMAT HAI AUR DOZAKH ALLAH KA AZAAB HAI.
JANNAT KE 8 DARAWAZAH KE NAAM YE HAI,
1- BABUL MUSALLIN (namaziyon ka darawazah)
2- BABUS SAAIMIN (rozahdaro ka darawazah)
3- BABUS SAADEQIN (sadiqin ka darwazah)
4- BABUL MUTASADDEQIN (baaham dosti rakhne walo ka darawazah)
5-BABUL QANETIN (aajizi aur zaari dikhane walo ka darawazah)
6-BABUZ ZAKIREEN (yaade khuda karne walo ka darawazah)
7-BABUS SABEREEN (sabr karne walo ka darawazah)
8-BABUL KHASHEIN (aajizi karne walo ka darawzah)
9-BABUL MUTAWAKKELIN (tawakkul karne walo ka darawazah)
sifatul jannat AbuNaeem
YAA TO BABUL QANETIN AUR BABUL KHASHEIN SE EK HI DARAWAZAH MURAD HAI, AUR IS KE NAAM 2 ZIKR KIYE GAYE HAI, YA RAAVI KO GALTI LAGI HAI.
WALLAHU A’ALAM.
SHAFA’AT KI TAWEEL HADEES ME HZ. ANAS RD. SE MARVI HAI KE, AAP صلی الله عليه وسلم NE FARMAYA:
ME JANNAT KE DARAWAZAH KA KUNDA PAKDUNGA AUR US KO KHATKHATAUNGA.
(Tirmizi-3148)
✺ *Verified By Ulama-e-Ekram* ✺
*❖ Next Part Soon In Shaa Allah ❖*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
⬇ *Pahleke Messages Keliye* ⬇
🍁 *Android App:* Goo.gl/mg4455
🍁 *Blog:* Goo.gl/8UVtHd
🍁 *WhatsApp: +91-9640245164*
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.