🍁 Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin mard ki ye shaan nahin ke apni momina biwi se bughz rakhe. Agar uski ek aadat use na pasand hogi to dusri pasandida bhi hogi. (Muslim: 3645)
✺ Faida: Rasulullah ﷺ ne is Hadees-e-shareef mein husn-e-muasharat ke ek mukhtasar usool bata diya ke ek insaan mein agar koi buri aadat hai to us mein kuch khoobiyan bhi hongi, aisa kaun hoga jis mein koi burayi na ho ya koi khoobi na ho. Lihaaza buraiyon se chashm poshi ki jaye aur khoobiyon ko dekha jaye.
📲 *Download App* - Goo.gl/mg4455
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.