TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Monday, November 20, 2017

Kuch Islami Sawal Jawab

Sawaal:



Kuch log kehte hai ki Quran parhte parhte baate nahi karni chahiye aur ye bhi kehte hai ki quran ko khula nahi rakhna chahiye warna shaitan use parhta hai ! uski kya haqiqat hai?

Jawab:


beshak quran parhte parhte baatein karna mamnu’a hai, woh isliye ki jis waqt hum quran parhte hai tab woh ALLAH ka kalam hota hai, mgar use parhate parhate hum apne kalam ko saath me mila denge tou pura meaning badal jayega. Maslan sura e nisa ki aap 14 aayat parh rahe hai: aur ALLAH aur uske RASOOL ki….. is ke baad achanak hum apna kalam lagadenge tou ye bahot bada gunah ho jayega aur pura meaning change ho jayega. Is liye koi khaas zaroori baat hai ya kisi ne kuch pucha tou aayat ko pehle puri kare phir use se kalaam kare uske baad phir se Bishmillah parh ke quran parhe.

Aur quran khula rakhe tou shaitan parhta hai tou ye bilkul galat zehan hai, jab Bishmillah nazil huwi tab shaitan itna roya jitna pehle kabhi na roya tha. Tou bhala ek aayat se shaitan itna roya tou kya woh quran parhne baithega, agar usne parh liya tou hamare liye tou khushkhbari hogi (magar woh kabhi nahi parhta), ulta ALLAH ke kalam se tou bhagta hai. magar haan quran ko khula rakh kar apne kaam me lag jana quran ki be-adabi hai, is liye agar koi dusra kaam hai tou quran ko band karle phir koi kaam kare.

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.